yun pyase qafile ki pyas ka matam manaunga
yuuñ pyāse qāfile kī pyaas kā mātam manā.ūñgā
lab-e-dariyā maiñ do āñkhoñ se sau dariyā bahā.ūñgā
mire bachchoñ kī asġhar se shanāsā.ī zarūrī hai
maiñ in ko hurmula ke tiir kā qissa sunā.ūñgā
zarūrī hai ye bachpan meñ hī mafhūm-e-vafā samjheñ
maiñ kuufa jā ke un ko be-vafāoñ se milā.ūñgā
safar kyā thā musāfir kaun the in ko batā kar maiñ
najaf se karbalā tak dam-ba-dam paidal chalā.ūñgā
mujhe in kī basārat ko basīrat meñ badalnā hai
maiñ in ko nainvā kī ġham-zada miTTī dikhā.ūñgā
husain ibn-e-'alī ke rauza-e-aqdas pe le jā kar
maiñ sab bachchoñ ko un ke haath pe bai'at karā.ūñgā
furāt-e-bā-jafā ne kyā kiyā pyāsī sakīna se
kaTe kaise mire ‘abbās ke baazū batā.ūñgā
jahāñ girya huā thā us jagah girya karūñgā maiñ
jahāñ ḳheme jale the us jagah ḳhema jalā.ūñgā
maiñ kar jā.uñgā hijrat jānib-e-karb-o-balā 'vāsif'
vahāñ maiñ zā.iroñ ko 'umr-bhar paanī pilā.ūñgā
yun pyase qafile ki pyas ka matam manaunga
lab-e-dariya main do aankhon se sau dariya bahaunga
mere bachchon ki asghar se shanasai zaruri hai
main in ko hurmula ke tir ka qissa sunaunga
zaruri hai ye bachpan mein hi mafhum-e-wafa samjhen
main kufa ja ke un ko be-wafaon se milaunga
safar kya tha musafir kaun the in ko bata kar main
najaf se karbala tak dam-ba-dam paidal chalaunga
mujhe in ki basarat ko basirat mein badalna hai
main in ko nainwa ki gham-zada miTTi dikhaunga
husain ibn-e-'ali ke rauza-e-aqdas pe le ja kar
main sab bachchon ko un ke hath pe bai'at karaunga
furaat-e-ba-jafa ne kya kiya pyasi sakina se
kaTe kaise mere ‘abbas ke bazu bataunga
jahan girya hua tha us jagah girya karunga main
jahan KHeme jale the us jagah KHema jalaunga
main kar jaunga hijrat jaanib-e-karb-o-bala 'wasif'
wahan main zairon ko 'umr-bhar pani pilaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.