SEARCH RESULTS
Showing search results for "ذلیل"
Sher MATCHES FOR "ذلیل"
Sher
rusvaa hu.e zaliil hu.e dar-ba-dar hu.e
haq baat lab pe aa.ii to ham be-hunar hu.e
Khaleel Tanveer
Sher
ahl-e-havas to KHair havas me.n hu.e zaliil
vo bhii hu.e KHaraab, mohabbat jinho.n ne kii
Ahmad Mushtaq
Sher
us naqsh-e-paa ke sajde ne kyaa kyaa kiyaa zaliil
mai.n kuucha-e-raqiib me.n bhii sar ke bal gayaa
Momin Khan Momin
Sher
Shaukat Thanvi
Sher
mere baGal me.n rah ke mujhii ko kiyaa zaliil
nafrat sii ho ga.ii dil-e-KHaana-KHaraab se
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
ajiib KHvaab thaa aa.nkho.n me.n nii.nd chho.D gayaa
ki nii.nd guzrii hai mujh ko zaliil karte hu.e
Alok Mishra
Sher
raqiib dono.n jahaa.n me.n zaliil kyuu.n hotaa
kisii ke biich me.n kam-baKHt agar nahii.n aataa
Kaifi Hyderabadi
Sher
aziiz agar nahii.n rakhtaa na rakh zaliil hii rakh
magar nikaal na tuu apnii anjuman se mujhe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
hu.e zaliil to izzat kii justujuu kyaa hai
kiyaa jo ishq to phir paas-e-aabruu kyaa hai
tahseen dehlvi
Sher
hai.n aaj kyuu.n zaliil ki kal tak na thii pasand
gustaaKHi-e-farishta hamaarii janaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
harjaa.iyo.n ke ishq ne kyaa kyaa kiyaa zaliil
rusvaa rahe KHaraab rahe dar-ba-dar rahe
Mardan Ali Khan Rana
Sher
ka.abe me.n shaiKH mujh ko samjhe zaliil lekin
sau shukr mai-kade me.n hai e'tibaar apnaa