SEARCH RESULTS
Showing search results for "ALFAAZ"
Sher MATCHES FOR "alfaaz"
Sher
chand alfaaz ke motii hai.n mire daaman me.n
hai magar terii mohabbat kaa taqaazaa kuchh aur
Amir Usmani
Sher
guu.njte rahte hai.n alfaaz mire kaano.n me.n
tuu to aaraam se kah detaa hai allaah-haafiz
Unknown
Sher
agar palak pe hai motii to ye nahii.n kaafii
hunar bhii chaahiye alfaaz me.n pirone kaa
Javed Akhtar
Sher
vo kare.n bhii to kin alfaaz me.n teraa shikva
jin ko terii nigah-e-lutf ne barbaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
alfaaz na aavaaz na hamraaz na dam-saaz
ye kaise doraahe pe mai.n KHaamosh kha.Dii huu.n
Farhat Zahid
Sher
sirf alfaaz pe mauquuf nahii.n lutf-e-suKHan
aa.nkh KHaamosh agar hai to zabaa.n kuchh bhii nahii.n
Moghisuddin Fareedi
Sher
KHayaal kyaa hai jo alfaaz tak na pahu.nche 'saaz'
jab aa.nkh se hii na Tapkaa to phir lahuu kyaa hai
Abdul Ahad Saaz
Sher
bandish-e-alfaaz ja.Dne se nago.n ke kam nahii.n
shaa.irii bhii kaam hai 'aatish' murassa-saaz kaa
Haidar Ali Aatish
Sher
Bharat Bhushan Pant
Sher
kuchh nahii.n kaar-e-falak haadsa-paashii ke sivaa
falsafa kuchh nahii.n alfaaz-taraashii ke sivaa
Akbar Allahabadi
Sher
Sheri Bhopali
Sher
band rahte hai.n jo alfaaz kitaabo.n me.n sadaa
gardish-e-vaqt miTaa detii hai pahchaan un kii
Aleena Itrat
Sher
uThaa laayaa kitaabo.n se vo ik alfaaz kaa ja.ngal
sunaa hai ab mirii KHaamoshiyo.n kaa tarjuma hogaa
Nafas Ambalvi
Sher
likh ke rakh detaa huu.n alfaaz sabhii kaaGaz par
lafz KHud bol ke taasiir banaa lete hai.n