SEARCH RESULTS
Showing search results for "Gash"
Sher MATCHES FOR "Gash"
Sher
Gash khaa ke 'daaG' yaar ke qadmo.n pe gir pa.Daa
behosh ne bhii kaam kiyaa hoshiyaar kaa
Dagh Dehlvi
Sher
Unknown
Sher
Momin Khan Momin
Sher
Gash khaa ke giraa pahle hii sho.ale kii jhalak se
muusaa ko bhalaa kahiye to kyaa tuur kii suujhii
Nazeer Akbarabadi
Sher
sab ko mahfil me.n nasiib un ke nazaare ho.nge
ham kahii.n Gash me.n pa.De ek kinaare ho.nge
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
dekhaa jo khaa ke tiir kamii.n-gaah kii taraf
apne hii dosto.n se mulaaqaat ho ga.ii
Hafeez Jalandhari
Sher
unhii.n ke faiz se baazaar-e-aql raushan hai
jo gaah gaah junuu.n iKHtiyaar karte rahe
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ghaas me.n jazb hu.e ho.nge zamii.n ke aa.nsuu
paa.nv rakhtaa huu.n to halkii sii namii lagtii hai
Saleem Ahmed
Sher
Hammad Niyazi
Sher
Abbas Rizvi
Sher
sunte hai.n jo bahisht kii taariif sab durust
lekin KHudaa kare vo tiraa jalva-gaah ho
Mirza Ghalib
Sher
har kuucha sho.ala-zaar hai har shahr qatl-gaah
yak-jehtii-e-hayaat ke aadaab kyaa hu.e
Sahir Ludhianvi
Sher
dast-e-pur-KHuu.n ko kaf-e-dast-e-nigaaraa.n samjhe
qatl-gah thii jise ham mahfil-e-yaaraa.n samjhe
Majrooh Sultanpuri
Sher
KHudaa ne ga.D.h to diyaa aalam-e-vajuud magar
sajaavaTo.n kii binaa aurato.n kii zaat hu.ii
Abdul Hamid Adam
Sher
sadaa-e-vaqt kii gar baaz-gasht san paa.o
mire KHayaal ko tum shaa.iraana kah denaa