SEARCH RESULTS
Showing search results for "afsaane"
Sher MATCHES FOR "afsaane"
Sher
sun chuke jab haal meraa le ke a.ng.Daa.ii kahaa
kis Gazab kaa dard zaalim tere afsaane me.n thaa
Shad Azimabadi
Sher
vo chaar chaa.nd falak ko lagaa chalaa huu.n 'qamar'
ki mere baa'd sitaare kahe.nge afsaane
Qamar Jalalvi
Sher
kah ke ye pher liyaa mu.nh mire afsaane se
faa.eda roz kahii.n baat ke dohraane se
Faheem Gorakhpuri
Sher
kahaa.n hai.n aaj vo sham-e-vatan ke parvaane
bane hai.n aaj haqiiqat unhii.n ke afsaane
Siraj Lakhnavi
Sher
Duub jaataa hai miraa jii jo kahuu.n qissa-e-dard
nii.nd aatii hai mujhii kuu.n mire afsaane me.n
Siraj Aurangabadi
Sher
mai.n ise shohrat kahuu.n yaa apnii rusvaa.ii kahuu.n
mujh se pahle us galii me.n mere afsaane ga.e
Khatir Ghaznavi
Sher
auro.n kii mohabbat ke dohraa.e hai.n afsaane
baat apnii mohabbat kii ho.nTo.n pe nahii.n aa.ii
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
ek thaa shaKHs zamaana thaa ki diivaana banaa
ek afsaana thaa afsaane se afsaana banaa
Makhdoom Mohiuddin
Sher
chaman ko lag ga.ii kis kii nazar KHudaa jaane
chaman rahaa na rahe vo chaman ke afsaane
Bismil Azimabadi
Sher
vo afsaana jise anjaam tak laanaa na ho mumkin
use ik KHuub-suurat mo.D de kar chho.Dnaa achchhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
aaj bhii 'prem' ke aur 'krishn' ke afsaane hai.n
aaj bhii vaqt kii jamhuurii zabaa.n hai urdu
Ata Abidi
Sher
'shu.uur' tum ne KHudaa jaane kyaa kiyaa hogaa
zaraa sii baat ke afsaane tho.Dii hote hai.n
Anwar Shuoor
Sher
apne afsaane kii shohrat use manzuur na thii
us ne kirdaar badal kar miraa qissa likhkhaa
Sheen Kaaf Nizam
Sher
sunegaa jab zamaana merii barbaadii ke afsaane
tumhaaraa naam bhii aa.egaa mere naam se pahle