SEARCH RESULTS
Showing search results for "ahbaab"
Sher MATCHES FOR "ahbaab"
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
bataa.uu.n aap ko marne ke baa'd kyaa hogaa
polaa.o khaa.e.nge ahbaab faatiha hogaa
Akbar Allahabadi
Sher
aate hai.n ayaadat ko to karte hai.n nasiihat
ahbaab se Gam-KHvaar hu.aa bhii nahii.n jaataa
Fani Badayuni
Sher
ik halqa-e-ahbaab hai tanhaa.ii bhii us kii
ik ham hai.n ki har bazm me.n tanhaa nazar aa.e
Wamiq Jaunpuri
Sher
is vahm se ki nii.nd me.n aa.e na kuchh KHalal
ahbaab zer-e-KHaak sulaa kar chale ga.e
Josh Malsiani
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
ahbaab bhii Gairo.n kii adaa siikh ga.e hai.n
aate hai.n magar dil ko dukhaane nahii.n aate
Bashir Badr
Sher
dost ahbaab se lene na sahaare jaanaa
dil jo ghabraa.e samundar ke kinaare jaanaa
Abdul Ahad Saaz
Sher
vo saarii baate.n mai.n ahbaab hii se kahtaa huu.n
mujhe hariif ko jo kuchh sunaanaa hotaa hai
Asad Badayuni
Sher
'ehsaan' apnaa ko.ii bure vaqt kaa nahii.n
ahbaab bevafaa hai.n KHudaa be-niyaaz hai
Ehsan Danish
Sher
Chakbast Brij Narayan
Sher
tahsiin ke laa.eq tiraa har sher hai 'akbar'
ahbaab kare.n bazm me.n ab vaah kahaa.n tak
Akbar Allahabadi
Sher
shaGl-e-ulfat ko jo ahbaab buraa kahte hai.n
kuchh samajh me.n nahii.n aataa ki ye kyaa kahte hai.n
Meer Mehdi Majrooh
Sher
ahbaab se rakhtaa huu.n kuchh ummiid-e-KHuraafaat
rahte hai.n KHafaa mujh se bahut log isii se
Firaq Gorakhpuri
Sher
Gam musalsal ho to ahbaab bichha.D jaate hai.n
ab na ko.ii dil-e-tanhaa ke qarii.n aa.egaa