SEARCH RESULTS
Showing search results for "bahaaro.n"
Sher MATCHES FOR "bahaaro.n"
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
mai.n ne dekhaa hai bahaaro.n me.n chaman ko jalte
hai ko.ii KHvaab kii taabiir bataane vaalaa
Ahmad Faraz
Sher
yuu.n chaar din kii bahaaro.n ke qarz utaare ga.e
tumhaare baa'd ke mausam faqat guzaare ga.e
Manoj Azhar
Sher
aap aa.e to bahaaro.n ne luTaa.ii KHushbuu
phuul to phuul the kaa.nTo.n se bhii aa.ii KHushbuu
Unknown
Sher
Kaif Bhopali
Sher
is taraf se guzre the qaafile bahaaro.n ke
aaj tak sulagte hai.n zaKHm rahguzaaro.n ke
Sahir Ludhianvi
Sher
sehn-e-chaman ko apnii bahaaro.n pe naaz thaa
vo aa ga.e to saarii bahaaro.n pe chhaa ga.e
Jigar Moradabadi
Sher
nazar-navaaz nazaaro.n me.n jii nahii.n lagtaa
vo kyaa ga.e ki bahaaro.n me.n jii nahii.n lagtaa
Shakeel Badayuni
Sher
Nushur Wahidi
Sher
vahshat kaa ye aalam ki pas-e-chaak garebaa.n
ranjish hai bahaaro.n se ulajhte hai.n KHizaa.n se
Javed Saba
Sher
udhar bhii KHaak u.Dii hai idhar bhii KHaak u.Dii
jahaa.n jahaa.n se bahaaro.n ke kaarvaa.n nikle
Sahir Ludhianvi
Sher
KHushbuu kaa qaafila ye bahaaro.n kaa silsila
pahu.nchaa hai shahr tak to mire ghar bhii aa.egaa
Mansoor Usmani
Sher
khilnaa har ek phuul kaa 'asGar' hai mo.ajaza
murjhaatii hai kalii bhii bahaaro.n ke darmiyaa.n
Asghar Velori
Sher
Nazim Barelvi
Sher
na.ii bahaar kaa muzhda bajaa sahii lekin
abhii to aglii bahaaro.n kaa zaKHm taaza hai
Shafqat Kazmi
Sher
unhii.n kii hasrat-e-rafta kii yaadgaar huu.n mai.n
jo log rah ga.e tanhaa bharii bahaaro.n me.n
Zaheer Kashmiri
Sher
bahaaro.n ke aa.nchal me.n KHush-buu chhupii hai
gulo.n kii qabaa me.n bhare hai.n sabhii ra.ng
Indira Varma
Sher
mai.n shaaKH-e-sabz huu.n mujh ko utaar kaaGaz par
mirii tamaam bahaaro.n ko be-KHizaa.n kar de