SEARCH RESULTS
Showing search results for "fanaa"
Sher MATCHES FOR "fanaa"
Sher
ishrat-e-qatra hai dariyaa me.n fanaa ho jaanaa
dard kaa had se guzarnaa hai davaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
tire va.ado.n pe kahaa.n tak miraa dil fareb khaa.e
ko.ii aisaa kar bahaana mirii aas TuuT jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
duniyaa-e-tasavvur ham aabaad nahii.n karte
yaad aate ho tum KHud hii ham yaad nahii.n karte
Fana Nizami Kanpuri
Sher
ko.ii paaband-e-mohabbat hii bataa saktaa hai
ek diivaane kaa zanjiir se rishta kyaa hai
Fana Nizami Kanpuri
Sher
kuchh dard kii shiddat hai kuchh paas-e-mohabbat hai
ham aah to karte hai.n fariyaad nahii.n karte
Fana Nizami Kanpuri
Sher
mai.n chaahtaa huu.n mohabbat mujhe fanaa kar de
fanaa bhii aisaa ki jis kii ko.ii misaal na ho
Jawad Sheikh
Sher
ik tujh ko dekhne ke liye bazm me.n mujhe
auro.n kii samt maslahatan dekhnaa pa.Daa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
Rajesh Reddy
Sher
Jaun Eliya
Sher
saahil ke tamaashaa.ii har Duubne vaale par
afsos to karte hai.n imdaad nahii.n karte
Fana Nizami Kanpuri
Sher
mai.n us ke saamne se guzartaa huu.n is liye
tark-e-ta.alluqaat kaa ehsaas mar na jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
sahtaa rahaa jafaa-e-dost kahtaa rahaa adaa-e-dost
mere KHuluus ne miraa jiinaa muhaal kar diyaa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
tartiib de rahaa thaa mai.n fahrist-e-dushmanaan
yaaro.n ne itnii baat pe KHanjar uThaa liyaa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
duniyaa pe aisaa vaqt pa.Degaa ki ek din
insaan kii talaash me.n insaan jaa.egaa