SEARCH RESULTS
Showing search results for "fariyaad"
Sher MATCHES FOR "fariyaad"
Sher
thaa iraada tirii fariyaad kare.n haakim se
vo bhii ai shoKH tiraa chaahne vaalaa niklaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
na ko.ii ranj kaa lamha kisii ke paas aa.e
KHudaa kare ki nayaa saal sab ko raas aa.e
Faryad Aazar
Sher
kuchh dard kii shiddat hai kuchh paas-e-mohabbat hai
ham aah to karte hai.n fariyaad nahii.n karte
Fana Nizami Kanpuri
Sher
adaa hu.aa na qarz aur vajuud KHatm ho gayaa
mai.n zindagii kaa dete dete suud KHatm ho gayaa
Faryad Aazar
Sher
dil vo hai ki fariyaad se labrez hai har vaqt
ham vo hai.n ki kuchh mu.nh se nikalne nahii.n dete
Akbar Allahabadi
Sher
ko.ii fariyaad tire dil me.n dabii ho jaise
tuu ne aa.nkho.n se ko.ii baat kahii ho jaise
faiz anwar
Sher
Faryad Aazar
Sher
Meer Hasan
Sher
Saba Afghani
Sher
maayuus dilo.n ko ab chhe.Do bhii to kyaa haasil
TuuTe hu.e paimaane fariyaad nahii.n karte
Figar Unnavi
Sher
din kaTaa fariyaad se aur raat zaarii se kaTii
umr kaTne ko kaTii par kitnii KHvaarii se kaTii
Dulhan Begum
Sher
thak gayaa hai dil-e-vahshii miraa fariyaad se bhii
jii bahaltaa nahii.n ai dost tirii yaad se bhii
Parveen Shakir
Sher
mirii hastii hai mirii tarz-e-tamannaa ai dost
KHud mai.n fariyaad huu.n merii ko.ii fariyaad nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
band ho jaataa hai kuuze me.n kabhii dariyaa bhii
aur kabhii qatra samundar me.n badal jaataa hai
Faryad Aazar
Sher
ajab ki sabr kii mii.aad ba.Dhtii jaatii hai
ye kaun log hai.n fariyaad kyuu.n nahii.n karte
Saqi Faruqi
Sher
jo duur rah ke u.Daataa rahaa mazaaq miraa
qariib aayaa to royaa gale lagaa ke mujhe
Faryad Aazar
Sher
meraa maqsad ki vo KHush ho.n mirii KHaamoshii se
un ko andesha ki ye bhii ko.ii fariyaad na ho