SEARCH RESULTS
Showing search results for "firdaus"
Sher MATCHES FOR "firdaus"
Sher
vo chiiz kahte hai.n firdaus-e-gum-shuda jis ko
kabhii kabhii tirii aa.nkho.n me.n paa.ii jaatii hai
Jigar Moradabadi
Sher
zindagii firdaus-e-gum-gashta ko paa saktii nahii.n
maut hii aatii hai ye manzil dikhaane ke liye
Hafeez Jalandhari
Sher
is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
goyaa ki mohabbat nahii.n ehsaan kiyaa hai
Afzaal Firdaus
Sher
kyuu.n na firdaus me.n dozaKH ko milaa le.n yaarab
sair ke vaaste tho.Dii sii jagah aur sahii
Mirza Ghalib
Sher
ham mai-kasho.n ko Dar nahii.n marne kaa mohtasib
firdaus me.n bhii sunte hai.n nahr-e-sharaab hai
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
Afzaal Firdaus
Sher
vahii jo detaa hai duniyaa ko uljhano.n se najaat
kabhii kabhii vahii uljhan me.n Daal detaa hai
Firdaus Gayavi
Sher
tamaam umr jo ha.nstaa hii rah gayaa yaaro
balaa kaa dard thaa us shaKHs kii kahaanii me.n
Firdaus Gayavi
Sher
mushkil thaa bahut mere liye tark-e-ta.alluq
ye kaam bhii tum ne miraa aasaan kiyaa hai
Afzaal Firdaus
Sher
tum ko aanaa hai to aa jaa.o isii aalam me.n
big.De haalaat Gariibo.n ke sa.nvarte hai.n kahii.n
Firdaus Gayavi
Sher
diivaaro.n me.n dar hotaa to achchhaa thaa
apnaa ko.ii ghar hotaa to achchhaa thaa
Afzaal Firdaus
Sher
ai mere musavvir nahii.n ye mai.n to nahii.n huu.n
ye tuu ne banaa Daalii hai tasviir ko.ii aur
Afzaal Firdaus
Sher
firdaus ham se chhuuT ke muddat guzar ga.ii
havvaa kii jo KHataa thii vo aadam ke sar ga.ii
Unknown
Sher
Ahmad Husain Mail
Sher
yaar tanhaa ghar me.n hai afsos lekin ham nahii.n
huur to hai gulshan-e-firdaus me.n aadam nahii.n