SEARCH RESULTS
Showing search results for "fursat"
Sher MATCHES FOR "fursat"
Sher
jii Dhuu.nDtaa hai phir vahii fursat ki raat din
baiThe rahe.n tasavvur-e-jaanaa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Sher
Gairo.n se to fursat tumhe.n din raat nahii.n hai
haa.n mere liye vaqt-e-mulaaqaat nahii.n hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Bashir Badr
Sher
Jafar Ali Hasrat
Sher
ik fursat-e-gunaah milii vo bhii chaar din
dekhe hai.n ham ne hausle parvardigaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
us ko bhii yaad karne kii fursat na thii mujhe
masruuf thaa mai.n kuchh bhii na karne ke baavajuud
Zafar Iqbal
Sher
maazii-e-marhuum kii naakaamiyo.n kaa zikr chho.D
zindagii kii fursat-e-baaqii se ko.ii kaam le
Seemab Akbarabadi
Sher
mile mujhe bhii agar ko.ii shaam fursat kii
mai.n kyaa huu.n kaun huu.n sochuu.ngaa apne baare me.n
Iqbal Sajid
Sher
fursat me.n rahaa karte hai.n fursat se zyaada
masruuf hai.n ham log zaruurat se zyaada
Sultan Akhtar
Sher
vo kaun hai.n jinhe.n tauba kii mil ga.ii fursat
hame.n gunaah bhii karne ko zindagii kam hai
Anand Narayan Mulla
Sher
Ameer Minai
Sher
fursat-e-kaar faqat chaar gha.Dii hai yaaro
ye na socho kii abhii umr pa.Dii hai yaaro
Jan Nisar Akhtar
Sher
mausam-e-yaad yuu.n ujlat me.n na vaare jaa.e.n
ham vo lamhe hai.n jo fursat se guzaare jaa.e.n
Kuldeep Kumar
Sher
rahnaa thaa us ke saath bahut der tak magar
in roz o shab me.n mujh ko ye fursat nahii.n milii