SEARCH RESULTS
Showing search results for "gandum"
Sher MATCHES FOR "gandum"
Sher
jis khet se dahqaa.n ko mayassar nahii.n rozii
us khet ke har KHosha-e-gandum ko jalaa do
Allama Iqbal
Sher
firaaq-e-KHuld se gandum hai siina-chaak ab tak
ilaahii ho na vatan se ko.ii Gariib judaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
aisaa kahaa.n ye zaa.iqa gandum ke paas hai
roTii me.n maa.n ke haath kii shaamil miThaas hai
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
zaahidaa kis husn-e-gandum-e-guu.n pe hai terii nigaah
aaj tuu merii nazar me.n guuna-e-aadam lagaa
Hasrat Azimabadi
Sher
ye kah rahii hai ishaaro.n me.n gardish-e-garduu.n
ki jald ham ko.ii saKHt inqalaab dekhe.nge
Ahmaq Phaphoondvi
Sher
sabaq milaa hai ye meraaj-e-mustafaa se mujhe
ki aalam-e-bashariiyat kii zad me.n hai garduu.n
Allama Iqbal
Sher
kholaa darvaaza samajh kar mujh ko Gair
khaa ga.e dhokaa mirii aavaaz se
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
Manzar Bhopali
Sher
muflisii bhuuk ko shahvat se milaa detii hai
gandumii lams me.n hai zaa.iqa-e-naan-e-javii.n
Abdul Ahad Saaz
Sher
mujh se ziyaada kaun tamaasha dekh sakegaa
gaa.ndhii-jii ke tiino.n bandar mere andar
Nazir Wahid
Sher
phaa.D kar KHat us ne qaasid se kahaa
ko.ii paiGaam-e-zabaanii aur hai
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
hamii.n pe KHatm na kiijiye shikaayat-e-dauraa.n
jo chal pa.Dii hai to phir duur tak ye baat chale
Nasir Kas Ganjui
Sher
aashiq-mizaaj rahte hai.n har vaqt taak me.n
siina ko is tarah se ubhaaraa na kiijiye
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
shaiKH chal tuu sharaab-KHaane me.n
mai.n tujhe aadmii banaa duu.ngaa
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
tum jaa.o raqiibo.n kaa karo ko.ii mudaavaa
ham aap bhugat le.nge ki jo ham pe banii hai