SEARCH RESULTS
Showing search results for "jale.n"
Sher MATCHES FOR "jale.n"
Sher
in uj.Dii bastiyo.n kaa ko.ii to nishaa.n rahe
chuulhe jale.n ki ghar hii jale.n par dhu.aa.n rahe
Ezaz Ahmad Azar
Sher
hairat nahii.n jale.n jo Gariibo.n ke jho.npa.De
is raat p.a.c kaa baseraa hai shahr me.n
Ain Meem Kausar
Sher
dushmanii jam kar karo lekin ye gunjaa.ish rahe
jab kabhii ham dost ho jaa.e.n to sharminda na ho.n
Bashir Badr
Sher
is zindagii me.n itnii faraaGat kise nasiib
itnaa na yaad aa ki tujhe bhuul jaa.e.n ham
Ahmad Faraz
Sher
shaaKHo.n se TuuT jaa.e.n vo patte nahii.n hai.n ham
aa.ndhii se ko.ii kah de ki auqaat me.n rahe
Rahat Indori
Sher
un kaa jo farz hai vo ahl-e-siyaasat jaane.n
meraa paiGaam mohabbat hai jahaa.n tak pahu.nche
Jigar Moradabadi
Sher
jaate ho KHudaa-haafiz haa.n itnii guzaarish hai
jab yaad ham aa jaa.e.n milne kii du.aa karnaa
Jaleel Manikpuri
Sher
ab aur kyaa kisii se maraasim ba.Dhaa.e.n ham
ye bhii bahut hai tujh ko agar bhuul jaa.e.n ham
Ahmad Faraz
Sher
bahut Guruur hai dariyaa ko apne hone par
jo merii pyaas se uljhe to dhajjiyaa.n u.D jaa.e.n
Rahat Indori
Sher
phir kho na jaa.e.n ham kahii.n duniyaa kii bhii.D me.n
miltii hai paas aane kii mohlat kabhii kabhii
Sahir Ludhianvi
Sher
ab in huduud me.n laayaa hai intizaar mujhe
vo aa bhii jaa.e.n to aa.e na e'tibaar mujhe
Khumar Barabankavi
Sher
ab kaun muntazir hai hamaare liye vahaa.n
shaam aa ga.ii hai lauT ke ghar jaa.e.n ham to kyaa
Muneer Niyazi
Sher
ek ho jaa.e.n to ban sakte hai.n KHurshiid-e-mubii.n
varna in bikhre hu.e taaro.n se kyaa kaam bane