SEARCH RESULTS
Showing search results for "khazaana"
Sher MATCHES FOR "khazaana"
Sher
Saqi Faruqi
Sher
lafzo.n kaa KHazaana bhii kabhii kaam na aa.e
baiThe rahe.n likhne ko tiraa naam na aa.e
Khaleel Mamoon
Sher
KHudaa kare ki ye din baar baar aataa rahe
aur apne saath KHushii kaa KHazaana laataa rahe
Unknown
Sher
kaash lauTe.n mire paapaa bhii khilaune le kar
kaash phir se mire haatho.n me.n KHazaana aa.e
Ajay Sahaab
Sher
shaayad qazaa ne mujh ko KHazaana banaa diyaa
aisaa nahii.n to kyuu.n mujhe dafnaa rahe hai.n log
Zubair Ali Tabish
Sher
daulat nahii.n kaam aatii jo taqdiir burii ho
qaaruun ko bhii apnaa KHazaanaa nahii.n miltaa
Mirza Raza Barq
Sher
Obaidullah Aleem
Sher
Zafar Gorakhpuri
Sher
Dhuu.nD uj.De hu.e logo.n me.n vafaa ke motii
ye KHazaane tujhe mumkin hai KHaraabo.n me.n mile.n
Ahmad Faraz
Sher
bahut se saa.np the is Gaar ke dahaane par
dil is liye bhii KHazaana shumaar hone lagaa
Azhar Faragh
Sher
qudrat kii barkate.n hai.n KHazaana basant kaa
kyaa KHuub kyaa ajiib zamaana basant kaa
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
ik roz chhiin legii hamii.n se zamii.n hame.n
chhiine.nge kyaa zamii.n ke KHazaane zamii.n se ham
Saba Akbarabadi
Sher
suno ki ab ham gulaab de.nge gulaab le.nge
mohabbato.n me.n ko.ii KHasaara nahii.n chalegaa
Javaid Anwar
Sher
sach ke saude me.n na pa.Dnaa ki KHasaaraa hogaa
jo hu.aa haal hamaaraa so tumhaaraa hogaa
Anjum Rumani
Sher
KHazaana-e-zar-o-gauhar pe KHaak Daal ke rakh
ham ahl-e-mehr-o-mohabbat hai.n dil nikaal ke rakh