SEARCH RESULTS
Showing search results for "kirdaar"
Sher MATCHES FOR "kirdaar"
Sher
ye mohabbat kii kahaanii nahii.n martii lekin
log kirdaar nibhaate hu.e mar jaate hai.n
Abbas Tabish
Sher
vo chaa.nd hai to aks bhii paanii me.n aa.egaa
kirdaar KHud ubhar ke kahaanii me.n aa.egaa
Iqbal Sajid
Sher
jhuuT bolaa hai to qaa.em bhii raho us par 'zafar'
aadmii ko saahab-e-kirdaar honaa chaahiye
Zafar Iqbal
Sher
jin ke kirdaar se aatii ho sadaaqat kii mahak
un kii tadriis se patthar bhii pighal sakte hai.n
Unknown
Sher
abhii se mat mire kirdaar ko maraa hu.aa jaan
tire fasaane me.n zikr aa.egaa dobaaraa miraa
Abdurrahman Wasif
Sher
tuu apnii marzii ke sabhii kirdaar aazmaa le
mire baGair ab tirii kahaanii nahii.n chalegii
Azhar Adeeb
Sher
vahii to markazii kirdaar hai kahaanii kaa
usii pe KHatm hai taasiir bevafaa.ii kii
Iqbal Ashhar
Sher
tuu kahaanii ke badalte hu.e manzar ko samajh
KHuun rote hu.e kirdaar kii jaanib mat dekh
Azhar Abbas
Sher
kirdaar dekhnaa hai to suurat na dekhiye
miltaa nahii.n zamii.n kaa pataa aasmaan se
Faheem Gorakhpuri
Sher
kuchh is tarah se vo shaamil hu.aa kahaanii me.n
ki is ke baad jo kirdaar thaa fasaana hu.aa
Saleem Kausar
Sher
KHaamosh sahii markazii kirdaar to ham the
phir kaise bhalaa terii kahaanii se nikalte
Saleem Kausar
Sher
ko.ii kirdaar adaa kartaa hai qiimat is kii
jab kahaanii ko nayaa mo.D diyaa jaataa hai
Azhar Nawaz
Sher
tere kirdaar ko itnaa to sharaf haasil hai
tuu nahii.n thaa to kahaanii me.n haqiiqat kam thii
Iqbal Ashhar
Sher
aziiz itnaa hii rakkho ki jii sambhal jaa.e
ab is qadar bhii na chaaho ki dam nikal jaa.e
Obaidullah Aleem
Sher
tuu meraa dost hai dushman hai mujhe kuchh to bataa
teraa kirdaar taraazuu nahii.n hotaa mujh se
Jazib Ziai
Sher
apnii taariif sunii hai to ye sach bhii sun le
tujh se achchhaa tiraa kirdaar nahii.n ho saktaa