SEARCH RESULTS
Showing search results for "kirdaar"
Ghazal MATCHES FOR "kirdaar"
Ghazal
ye mohabbat kii kahaanii nahii.n martii lekin
log kirdaar nibhaate hu.e mar jaate hai.n
Abbas Tabish
Ghazal
mai.n ek kirdaar se ba.Daa tang huu.n qalamkaar
mujhe kahaanii me.n Daal Gussa nikaalnaa hai
Umair Najmi
Ghazal
jhuuT bolaa hai to qaa.em bhii raho us par 'zafar'
aadmii ko saahab-e-kirdaar honaa chaahiye
Zafar Iqbal
Ghazal
vo chaa.nd hai to aks bhii paanii me.n aa.egaa
kirdaar KHud ubhar ke kahaanii me.n aa.egaa
Iqbal Sajid
Ghazal
kuchh bhii thaa sach ke taraf-daar hu.aa karte the
tum kabhii saahab-e-kirdaar hu.aa karte the
Saleem Kausar
Ghazal
raushnii aisii ajab thii ra.ng-bhuumii kii 'nasiim'
ho ga.e kirdaar mudGam kirshn bhii raadhaa lagaa
Iftikhar Naseem
Ghazal
ye ko.ii aur hii kirdaar hai tumhaarii tarah
tumhaaraa zikr nahii.n hai mirii kahaanii me.n
Rahat Indori
Ghazal
kaun pahchaanegaa 'daanish' ab tujhe kirdaar se
be-muravvat vaqt ko taaza nishaanii chaahiye
Madan Mohan Danish
Ghazal
hame.n gavaah banaayaa hai vaqt ne apnaa
ba-naam-e-azmat-e-kirdaar aa.o sach bole.n
Qateel Shifai
Ghazal
kahaaniyo.n ke vo kirdaar jo likhe na ga.e
KHabar se hazf-shuda vaaqi.aat hai.n ham log
Umair Najmi
Ghazal
kis ehsaas-e-jurm kii sab karte hai.n tavaqqo
ik kirdaar kiyaa thaa jis me.n qaatil thaa mai.n
Shariq Kaifi
Ghazal
da.avo.n kii taraazuu me.n to azmat nahii.n tultii
fiite se to kirdaar ko naapaa nahii.n jaataa
Muzaffar Warsi
Ghazal
ai laa ilaah ke vaaris baaqii nahii.n hai tujh me.n
guftaar-e-dilbaraana kirdaar-e-qaahiraana
Allama Iqbal
Ghazal
kahaanii me.n na.e kirdaar shaamil ho ga.e hai.n
nahii.n ma.aluum ab kis Dhab tamaashaa KHatm hogaa
Iftikhar Arif
Ghazal
daastaano.n ke sabhii kirdaar kam hone lage
aaj kaaGaz chuntii phirtii hai parii baGdaad kii