SEARCH RESULTS
Showing search results for "kufr"
Sher MATCHES FOR "kufr"
Sher
iimaa.n mujhe roke hai jo khii.nche hai mujhe kufr
ka.aba mire piichhe hai kaliisaa mire aage
Mirza Ghalib
Sher
dekhuu.n to jurm aur na dekhuu.n to kufr hai
ab kyaa kahuu.n jamaal-e-ruKH-e-fitnagar ko mai.n
Panna Lal Noor
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
ishq me.n shikva kufr hai aur har iltijaa haraam
to.D de kaasa-e-muraad ishq gadaagarii nahii.n
Asar Rampuri
Sher
kufr o islaam kii kuchh qaid nahii.n ai 'aatish'
shaiKH ho yaa ki barhaman ho par insaa.n hove
Haidar Ali Aatish
Sher
laa.e us but ko iltijaa kar ke
kufr TuuTaa KHudaa KHudaa kar ke
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
kahte hai.n tirii zulf kuu.n dekh ahl-e-sharii.at
qurbaan hai is kufr par iimaan hamaaraa
Siraj Aurangabadi
Sher
daliil-e-taabish-e-iimaa.n hai kufr kaa ehsaas
charaaG shaam se pahle jalaa nahii.n karte
Shakeel Badayuni
Sher
Bedam Shah Warsi
Sher
Garaz kufr se kuchh na dii.n se hai matlab
tamaashaa-e-dair-o-haram dekhte hai.n
Mohammad Rafi Sauda
Sher
Chakbast Brij Narayan
Sher
kaafir-e-ishq hu.aa jab se mai.n is dahr me.n huu.n
hai mire kufr se ye diin aur iimaa.n naazaa.n
Shah Aasim
Sher
kufr aur islaam me.n dekhaa to naazuk farq thaa
dair me.n jo paak thaa ka.abe me.n vo naapaak thaa
Qalaq Merathi
Sher
mai.n justujuu se kufr me.n pahu.nchaa KHudaa ke paas
ka.abe tak in buto.n kaa mujhe naam le gayaa
Muneer Shikohabadi
Sher
shaiKH le hai raah ka.abe kii barahman dair kii
ishq kaa rasta judaa hai kufr aur islaam se
Muneer Shikohabadi
Sher
Zafar Iqbal
Sher
kufr o islaam ke jhag.De ko chukaa do saahab
ja.ng aapas me.n kare.n shaiKH o barahman kab tak