SEARCH RESULTS
Showing search results for "laam"
Sher MATCHES FOR "laam"
Sher
laam nastaaliiq kaa hai us but-e-KHush-KHat kii zulf
ham to kaafir ho.n agar bande na ho.n is laam ke
Unknown
Sher
raaste aur tavaazo.a me.n hai rabt-e-qalbii
jis tarah laam alif me.n hai alif laam me.n hai
Ameer Minai
Sher
laam ke maanind hai.n gesuu mire ghanshyaam ke
hai.n vahii kaafir ki jo bande nahii.n 'is laam' ke
Unknown
Sher
umr-e-daraaz maa.ng ke laa.ii thii chaar din
do aarzuu me.n kaT ga.e do intizaar me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
mai.n sach kahuu.ngii magar phir bhii haar jaa.uu.ngii
vo jhuuT bolegaa aur laa-javaab kar degaa
Parveen Shakir
Sher
jahaa.n me.n hone ko ai dost yuu.n to sab hogaa
tire labo.n pe mire lab ho.n aisaa kab hogaa
Shahryar
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
dil ke phaphuule jal uThe siine ke daaG se
is ghar ko aag lag ga.ii ghar ke charaaG se
Mahtab Rai Taban
Sher
vo TuuTte hu.e rishto.n kaa husn-e-aaKHir thaa
ki chup sii lag ga.ii dono.n ko baat karte hu.e
Rajinder Manchanda Bani
Sher
dil se niklegii na mar kar bhii vatan kii ulfat
merii miTTii se bhii KHushbuu-e-vafaa aa.egii
Lal Chand Falak
Sher
so dekh kar tire ruKHsaar o lab yaqii.n aayaa
ki phuul khilte hai.n gulzaar ke alaava bhii
Ahmad Faraz
Sher
rusvaa hu.e zaliil hu.e dar-ba-dar hu.e
haq baat lab pe aa.ii to ham be-hunar hu.e
Khaleel Tanveer
Sher
kahne detii nahii.n kuchh mu.nh se mohabbat merii
lab pe rah jaatii hai aa aa ke shikaayat merii
Dagh Dehlvi
Sher
kahte hai.n umr-e-rafta kabhii lauTtii nahii.n
jaa mai-kade se merii javaanii uThaa ke laa