SEARCH RESULTS
Showing search results for "mahfuuz"
Sher MATCHES FOR "mahfuuz"
Sher
sunaa hai shahr kaa naqsha badal gayaa 'mahfuuz'
to chal ke ham bhii zaraa apne ghar ko dekhte hai.n
Ahmad Mahfuz
Sher
Ahmad Mahfuz
Sher
kyaa KHabar kab lauT aa.e.n ajnabii deso.n se vo
pe.D par mahfuuz un ke gho.nsle rakh chho.Dnaa
Hasan Nasir
Sher
Fareed Parbati
Sher
jo na karnaa ho vahii kaam tumhaare liye hai
mere hisse kaa bhii aaraam tumhaare liye hai
Ahmad Mahfuz
Sher
saal-e-nau aataa hai to mahfuuz kar letaa huu.n mai.n
kuchh puraane se calender zehn kii diivaar par
Azad Gulati
Sher
bichha.D ke KHaak hu.e ham to kyaa zaraa dekho
Gubaar jaa ke usii kaarvaa.n se miltaa hai
Ahmad Mahfuz
Sher
jo ek lafz kii KHushbuu na rakh sakaa mahfuuz
mai.n us ke haath me.n puurii kitaab kyaa detaa
Unknown
Sher
kahaa.n kisii ko thii fursat fuzuul baato.n kii
tamaam raat vahaa.n zikr bas tumhaaraa thaa
Ahmad Mahfuz
Sher
jalaa hai shahr to kyaa kuchh na kuchh to hai mahfuuz
kahii.n Gubaar kahii.n raushnii salaamat hai
Faza Ibn e Faizi
Sher
yuu.n to ka.ii kitaabe.n pa.Dhii.n zehn me.n magar
mahfuuz ek saada varaq der tak rahaa
Bekal Utsahi
Sher
hai jism saKHt magar dil bahut hii naazuk hai
ki jaise aa.iina mahfuuz ik chaTTaan me.n hai
Abbas Dana
Sher
Ahmad Mahfuz
Sher
KHudaa mahfuuz rakkhe intishaar-e-rahnumaa.ii se
isii manzil pe aa ke aadmii diivaana hotaa hai