SEARCH RESULTS
Showing search results for "marhala"
Sher MATCHES FOR "marhala"
Sher
talaash-e-rizq kaa ye marhala ajab hai ki ham
gharo.n se duur bhii ghar ke liye base hu.e hai.n
Arif Imam
Sher
ta.alluq to.Dne me.n pahl mushkil marhala thaa
chalo ham ne tumhaaraa bojh halkaa kar diyaa hai
Hasan Abbas Raza
Sher
baarish kii bahut tez havaa me.n kahii.n mujh ko
darpesh thaa ik marhala jalne kii tarah kaa
Zafar Iqbal
Sher
mai.n sa.ng-e-rah nahii.n jo uThaa kar tuu phe.nk de
mai.n aisaa marhala huu.n jo sau baar aa.egaa
Musavvir Sabzwari
Sher
baaqii abhii hai karb kaa ik aur marhala
mahsuus jo kiyaa hai use sochnaa bhii hai
Anwar Alam Siddqui
Sher
ye marhala bhii kisii imtihaa.n se kam to nahii.n
vo shaKHs mujh pe bahut e'tibaar kartaa hai
Moin Shadab
Sher
aasaan nahii.n marhala-e-tark-e-vafaa bhii
muddat hu.ii ham is ko bhulaane me.n lage hai.n
Hafeez Banarasi
Sher
safar me.n aise ka.ii marhale bhii aate hai.n
har ek mo.D pe kuchh log chhuuT jaate hai.n
Aabid Adeeb
Sher
safar me.n ishq ke ik aisaa marhala aayaa
vo Dhuu.nDtaa thaa mujhe aur kho gayaa thaa mai.n
Saleem Ahmed
Sher
bhaTak ke ko.ii gayaa dair ko ko.ii ka.abe
ajiib bhuul-bhulayyaa.n hai marhala dil kaa
Imdad Ali Bahr
Sher
shaam aa.e aur ghar ke liye dil machal uThe
shaam aa.e aur dil ke liye ko.ii ghar na ho
Akhtar Usman
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
jaa.n nazr kii to dono.n jahaa.n mil ga.e hame.n
tai marg o zindagii kaa har ik marhala hu.aa
Jameel Malik
Sher
abhii hai.n qurb ke kuchh aur marhale baaqii
ki tujh ko paa ke hame.n phir tirii tamannaa hai
Tabish Dehlvi
Sher
KHvaab ke aage shikast-e-KHvaab kaa thaa saamnaa
ye safar thaa marhala-dar-marhala TuuTaa hu.aa
Aftab Iqbal Shamim
Sher
Unknown
Sher
mushkil-pasand hii sahii mai.n vasl me.n magar
ab ke ye marhala mujhe aasaa.n bhii chaahiye