SEARCH RESULTS
Showing search results for "martaba"
Sher MATCHES FOR "martaba"
Sher
Unknown
Sher
ishq kaa ab martaba pahu.nchaa muqaabil husn ke
ban ga.e but ham bhii aaKHir us sanam kii yaad me.n
Meer Hasan
Sher
'hasrat' bahut hai martaba-e-aashiqii buland
tujh ko to muft logo.n ne mash.huur kar diyaa
Hasrat Mohani
Sher
mizaaj-o-martaba-e-chashm-e-nam ko pahchaane
jo tujh ko dekh ke aa.e vo ham ko pahchaane
Ada Jafarey
Sher
mai.n KHud ko dekhtaa huu.n aur bhii hiqaarat se
jab apnaa martaba tasliim karne lagtaa huu.n
Akash Arsh
Sher
tirii giraft miraa martaba ba.Dhaatii hai
mujhe tuu apnii mohabbat me.n mubtalaa rakhnaa
Dr. Yasin Aatir
Sher
haram ko chho.D rahuu.n kyuu.n na but-kade me.n shaiKH
ki yaa.n har ek ko hai martaba KHudaa.ii kaa
Taban Abdul Hai
Sher
gadaa-e-kuucha-e-jaanaa.n huu.n martaba hai ba.Daa
ki mere naam hai jaagiir be-navaa.ii kii
Ashique Akbarabadi
Sher
unhii.n se martaba milaa hayaat ko mamaat ko
jo goliyo.n ke biich haq kii baat kahte aa.e hai.n
Narwatam Lal Bahar Lakhnavi
Sher
din ke ha.ngaame jilaa dete hai.n mujh ko varna
sub.h se pahle ka.ii martaba mar jaaataa huu.n
Ateequllah
Sher
martaba ma.ashuuq kaa aashiq se baalaa-dast hai
KHaar kii jaa zer-e-paa gul kaa makaa.n dastaar par
Munawar Khan Ghafil
Sher
qaatil ne mujh ko Gaus kaa kyaa martaba diyaa
sar hai kahii.n badan hai kahii.n dast-o-paa kahii.n
Don Desilva Fitrat
Sher
rahe qafas hii me.n ham aur chaman me.n phir phir kar
hazaar martaba mausam bahaar kaa pahu.nchaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe