SEARCH RESULTS
Showing search results for "qaum"
Sher MATCHES FOR "qaum"
Sher
qaum ke Gam me.n dinner khaate hai.n hukkaam ke saath
ra.nj leader ko bahut hai magar aaraam ke saath
Akbar Allahabadi
Sher
Zafar Ali Khan
Sher
sunaa hai Duub ga.ii be-hisii ke dariyaa me.n
vo qaum jis ko jahaa.n kaa amiir honaa thaa
Ibrat Machlishahri
Sher
mujrim huu.n mai.n agar to gunahgaar tum bhii ho
ai rahbaraan-e-qaum KHataa-kaar tum bhii ho
Sahir Ludhianvi
Sher
is saadgii pe kaun na mar jaa.e ai KHudaa
la.Dte hai.n aur haath me.n talvaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
kaarvaa.n jin kaa luTaa raah me.n aazaadii kii
qaum kaa mulk kaa un dard ke maaro.n ko salaam
Bano Tahira Sayeed
Sher
izzat kaa hai na auj na nekii kii mauj hai
hamla hai apnii qaum pe lafzo.n kii fauj hai
Akbar Allahabadi
Sher
charaaG qaum kaa raushan hai arsh par dil ke
use havaa ke farishte bujhaa nahii.n sakte
Chakbast Braj Narayan
Sher
aziizaan-e-vatan ko Guncha o barg o samar jaanaa
KHudaa ko baaGbaa.n aur qaum ko ham ne shajar jaanaa
Chakbast Braj Narayan
Sher
membarii se aap par to vaarnish ho jaa.egii
qaum kii haalat me.n kuchh is se jilaa ho yaa na ho
Akbar Allahabadi
Sher
leaderii chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaa.n-navaaz
gap-naviiso.n ko aur ahl-e-mez ko raazii karo
Akbar Allahabadi
Sher
yahaa.n na peT hii is shaa.erii se bhartaa hai
yahaa.n na qaum hii lauh-o-qalam se jaagtii hai
Asad Badayuni
Sher
kaun rotaa hai kisii aur kii KHaatir ai dost
sab ko apnii hii kisii baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
tujhe kaun jaantaa thaa mirii dostii se pahle
tiraa husn kuchh nahii.n thaa mirii shaa.irii se pahle
Kaif Bhopali
Sher
kuchh KHabar hai tujhe o chain se sone vaale
raat bhar kaun tirii yaad me.n bedaar rahaa