SEARCH RESULTS
Showing search results for "reKHta"
Sher MATCHES FOR "reKHta"
Sher
ab na 'Gaalib' se shikaayat hai na shikva 'miir' kaa
ban gayaa mai.n bhii nishaana reKHta ke tiir kaa
Mohammad Alvi
Sher
jo ye kahe ki reKHta kyuu.nke ho rashk-e-faarsii
gufta-e-'Gaalib' ek baar pa.Dh ke use sunaa ki yuu.n
Mirza Ghalib
Sher
yaar ke aage pa.Dhaa ye reKHta jaa kar 'naziir'
sun ke bolaa vaah-vaah achchhaa kahaa achchhaa kahaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
reKHta-go.ii kii buniyaad 'valii' ne Daalii
ba.ad-azaa.n KHalq ko 'mirzaa' se hai aur 'miir' se faiz
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Shibli Nomani
Sher
muu.e ne mu.nh kii khaa.ii phir bhii ye zor zorii
ye reKHtii hai bhaa.ii tum reKHta to jaano
Shamim Qasmi
Sher
aa.nkhe.n na churaa 'mus.hafii'-e-reKHta-go se
ik umr se teraa hai sanaa-KHvaan idhar dekh
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ai 'mus.hafii' ustaad-e-fan-e-reKHta-go.ii
tujh saa ko.ii aalam ko mai.n chhaanaa nahii.n miltaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
qaa.em mai.n Gazal taur kiyaa reKHta varna
ik baat lachar sii ba-zabaan-e-dakanii thii
Qayem Chaandpuri
Sher
reKHta ke qasr kii buniyaad uThaa.ii ai 'nasiir'
kaam hai mulk-e-suKHan me.n saahib-e-maqduur kaa
Shah Naseer
Sher
'qaa.em' mai.n reKHta ko diyaa KHil.at-e-qubuul
varna ye pesh-e-ahl-e-hunar kyaa kamaal thaa
Qayem Chaandpuri
Sher
reKHta kaa ik nayaa majzuub hai 'shahpar' rasuul
shohrat us ke naam par ik na.ng hai bohtaan hai
Shehpar Rasool
Sher
Abroo Shah Mubarak
Sher
'mus.hafii' garche ye sab kahte hai.n ham se behtar
apnii par reKHta-go.ii kii zabaa.n aur hii hai