SEARCH RESULTS
Showing search results for "rut"
Sher MATCHES FOR "rut"
Sher
bichh.Daa kuchh is adaa se ki rut hii badal ga.ii
ik shaKHs saare shahr ko viiraan kar gayaa
Khalid Sharif
Sher
mausam-e-zard me.n ek dil ko bachaa.uu.n kaise
aisii rut me.n to ghane pe.D bhii jha.D jaate hai.n
Mohsin Naqvi
Sher
KHizaa.n kii rut hai janam-din hai aur dhu.aa.n aur phuul
havaa bikher ga.ii mom-battiyaa.n aur phuul
Sabir Zafar
Sher
fazaa udaas hai rut muzmahil hai mai.n chup huu.n
jo ho sake to chalaa aa kisii kii KHaatir tuu
Ahmad Faraz
Sher
mumkin hai yahii dil ke milaane kaa sabab ho
ye rut jo hame.n haath milaane nahii.n detii
Arshad Jamal Sarim
Sher
Zubair Farooq
Sher
abhii to achchhii lagegii kuchh din judaa.ii kii rut
abhii hamaare liye ye sab kuchh nayaa nayaa hai
Shariq Kaifi
Sher
rang jin kaa sabz hai vo kab gire.nge pe.D se
dhuup kii rut zard patte hii u.Daa le jaa.egii
Nadim Balkhi
Sher
rut badlii to zamii.n ke chehre kaa Gaaza bhii badlaa
ra.ng magar KHud aasmaan ne badle kaise kaise
Akbar Hyderabadi
Sher
Arshad Jamal Sarim
Sher
phir saavan rut kii pavan chalii tum yaad aa.e
phir patto.n kii paazeb bajii tum yaad aa.e
Nasir Kazmi
Sher
ummiid o yaas kii rut aatii jaatii rahtii hai
magar yaqiin kaa mausam nahii.n badaltaa hai
Manzoor Hashmi
Sher
laa.ii hai ab u.Daa ke ga.e mausamo.n kii baas
barkhaa kii rut kaa qahr hai aur ham hai.n dosto
Muneer Niyazi
Sher
yaado.n kii rut ke aate hii sab ho ga.e hare
ham to samajh rahe the sabhii zaKHm bhar ga.e
Sheen Kaaf Nizam
Sher
daraKHto.n par parinde lauT aanaa chaahte hai.n
KHizaa.n-rut kaa guzar jaanaa zaruurii ho gayaa hai