SEARCH RESULTS
Showing search results for "saaya-e-baal-e-humaa-e-ra.nj"
Sher MATCHES FOR "saaya-e-baal-e-humaa-e-ra.nj"
Sher
baaz aa.e ham ye apnaa aap chhallaa liijiye
har kisii ke haath me.n hai ab nishaanii aap kii
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
sariir-e-saltanat se aastaan-e-yaar behtar thaa
hame.n zill-e-humaa se saaya-e-diivaar behtar thaa
Inamullah Khan Yaqeen
Sher
kab tak ai baad-e-sabaa tujh se tavaqqo rakkhuu.n
dil tamannaa kaa shajar hai to haraa ho bhii chukaa
Khwaja Razi Haidar
Sher
Aasi Ghazipuri
Sher
Naseem Dehlvi
Sher
tundii-e-baad-e-muKHaalif se na ghabraa ai uqaab
ye to chaltii hai tujhe uu.nchaa u.Daane ke liye
Syed sadiq husain
Sher
baad-e-tark-e-ulfat bhii yuu.n to ham jiye lekin
vaqt be-tarah biitaa umr be-sabab guzrii
Zuhoor Nazar
Sher
gulo.n me.n rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhii aa.o ki gulshan kaa kaarobaar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
charaaG jalte hai.n baad-e-sabaa mahaktii hai
tumhaare husn-e-takallum se kyaa nahii.n hotaa
Hamid mahboob
Sher
phir tiraa zikr kiyaa baad-e-sabaa ne mujh se
phir mire dil ko dha.Dakne ke bahaane aa.e
Iqbal Ashhar
Sher
vahshat ham apnii ba.ad-e-fanaa chho.D jaa.e.n
ab tum phiroge chaak garebaa.n kiye hu.e
Arzoo Lakhnavi
Sher
ye karbalaa hai nazr-e-balaa ham hu.e ki tum
naamuus-e-qaafila pe fidaa ham hu.e ki tum
Rais Amrohvi
Sher
abr-e-bahaar baad-e-sabaa apnii raah le.n
majnuu.n ko kaa.enaat kisii kaam kii nahii.n
Abdullah Saqib
Sher
sumbul ko pareshaan kiyaa baad-e-sabaa ne
jab baaG me.n baate.n tirii zulfo.n kii chalaa.ii.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ba.ad-e-fanaa bhii KHair se tanhaa nahii.n hai.n ham
bando.n se chhuT ga.e to farishto.n me.n aa mile
Rasa Rampuri
Sher
chho.D kar baar-e-sadaa vo be-sadaa ho jaa.egaa
vahm thaa meraa ki patthar aa.iina ho jaa.egaa