SEARCH RESULTS
Showing search results for "shahr-e-ishq"
Sher MATCHES FOR "shahr-e-ishq"
Sher
'ishq' raushan thaa vahaa.n diida-e-aahuu se charaaG
mai.n jo yak raat gayaa qais ke kaashaane me.n
Ishq Aurangabadi
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn e Insha
Sher
ko.ii to hogaa jis ko miraa intizaar hai
kahtaa hai dil ke shahr-e-tamannaa me.n le ke chal
Ibrahim Ashk
Sher
Ibn e Insha
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
log mujh ko mire aaha.ng se pahchaan ga.e
kaun badnaam rahaa shahr-e-suKHan me.n aisaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
ai muqallid bul-havas ham se na kar daavaa-e-ishq
daaG laala kii tarah rakhte hai.n maadar-zaad ham
Ishq Aurangabadi
Sher
ye dil kab ishq ke qaabil rahaa hai
kahaa.n is ko dimaaG o dil rahaa hai
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
dekhne vaale ye kahte hai.n kitaab-e-dahr me.n
tuu saraapaa husn kaa naqsha hai mai.n tasviir-e-ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
maqsad-e-ziist Gam-e-ishq hai sahraa ho ki shahr
baiTh jaa.e.nge jahaa.n chaaho biThaa do ham ko
Ehsan Danish
Sher
puuchh le 'parvii.n' se yaa qais se daryaaft kar
shahr me.n mash.huur hai tere fidaa.ii kaa ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
is shahr-e-be-charaaG me.n jaa.egii tuu kahaa.n
aa ai shab-e-firaaq tujhe ghar hii le chale.n
Nasir Kazmi
Sher
arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahii.n rahaa
jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahii.n rahaa
Mirza Ghalib
Sher
kuchh yaadgaar-e-shahr-e-sitamgar hii le chale.n
aa.e hai.n is galii me.n to patthar hii le chale.n
Nasir Kazmi
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe
Meer Tahir Ali Rizvi
Sher
baal apne ba.Dhaate hai.n kis vaaste diivaane
kyaa shahr-e-mohabbat me.n hajjaam nahii.n hotaa