SEARCH RESULTS
Showing search results for "taqaaza"
Sher MATCHES FOR "taqaaza"
Sher
mujh ko ye aarzuu vo uThaa.e.n naqaab KHud
un ko ye intizaar taqaazaa kare ko.ii
Asrarul Haq Majaz
Sher
chand alfaaz ke motii hai.n mire daaman me.n
hai magar terii mohabbat kaa taqaazaa kuchh aur
Amir Usmani
Sher
mai.n bistar-e-KHayaal pe leTaa huu.n us ke paas
sub.h-e-azal se ko.ii taqaazaa kiye baGair
Jaun Eliya
Sher
be-uzr vo kar lete hai.n va.ada ye samajh kar
ye ahl-e-muravvat hai.n taqaazaa na kare.nge
Shefta Mustafa Khan
Sher
kis kii hai ye tasviir jo bantii nahii.n mujh se
mai.n kis kaa taqaazaa huu.n ki puuraa nahii.n hotaa
Farhat Ehsas
Sher
ye tamannaa hai ki ab aur tamannaa na kare.n
sher kahte rahe.n chup chaap taqaazaa na kare.n
Salman Akhtar
Sher
Ashar Najmi
Sher
jal kar giraa huu.n suukhe shajar se u.Daa nahii.n
mai.n ne vahii kiyaa jo taqaazaa vafaa kaa thaa
Akbar Hameedi
Sher
ham jaante hai.n lutf-e-taqaazaa-e-mai-farosh
vo naqd me.n kahaa.n jo mazaa hai udhaar me.n
Riyaz Khairabadi
Sher
Thahre hu.e paanii kaa muqaddar nahii.n hotaa
bahte hu.e paanii kaa taqaazaa hai guzar jaa
Moid Rasheedi
Sher
Tilok Chand Mahroom
Sher
gardish-e-miinaa-o-jaam dekhiye kab tak rahe
ham pe taqaazaa-e-haraam dekhiye kab tak rahe
Zehra Nigaah
Sher
sard raato.n kaa taqaaza thaa badan jal jaa.e
phir vo ik aag jo siine se lagaa.ii mai.n ne