SEARCH RESULTS
Showing search results for "yakjaa"
Sher MATCHES FOR "yakjaa"
Sher
reza reza kar diyaa jis ne mire ehsaas ko
kis qadar hairaan hai vo mujh ko yakjaa dekh kar
Khushbir Singh Shaad
Sher
jitne bikhre hu.e kaaGaz hai.n vo yakjaa kar le
raat chupke se kahaa aa ke havaa ne ham se
Munawwar Rana
Sher
Abrar Ahmad
Sher
jii chaahegaa jis ko use chaahaa na kare.nge
ham ishq o havas ko kabhii yakjaa na kare.nge
Karamat Ali Shaheedi
Sher
ko.ii tanhaa.ii kaa gosha ko.ii kunj-e-aafiyat
aashiq-o-maashuuq yakjaa ho.n kahaa.n ai aasmaa.n
Abdul Aziz Khalid
Sher
kabhii yak-ba-yak tavajjoh kabhii daf.atan taGaaful
mujhe aazmaa rahaa hai ko.ii ruKH badal badal kar
Shakeel Badayuni
Sher
ek lamhe me.n bikhar jaataa hai taanaa-baanaa
aur phir umr guzar jaatii hai yakjaa.ii me.n
Ahmad Mushtaq
Sher
ham ishq me.n hai.n fard to tum husn me.n yaktaa
ham saa bhii nahii.n ek jo tum saa nahii.n ko.ii
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ham kahaa.n ke daanaa the kis hunar me.n yaktaa the
be-sabab hu.aa 'Gaalib' dushman aasmaa.n apnaa
Mirza Ghalib
Sher
Hasan Naim
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
mujh ko le Duubaa tiraa shahr me.n yaktaa honaa
dil bahal jaataa agar ko.ii bhii tujh saa hotaa
Shahryar
Sher
mire hariif mirii yakka-taaziiyo.n pe nisaar
tamaam umr haliifo.n se ja.ng kii mai.n ne
Jaun Eliya
Sher
KHud-ba-KHud yak-ba-yak chale aa.e
mai.n to aa.nkhe.n talak bichhaa na sakaa
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
yak-ba-yak jaa.n se guzarnaa to hai aasaa.n 'anjum'
qatra qatra ka.ii qisto.n me.n pighal kar dekhe.n