SEARCH RESULTS
Showing search results for "zaaviye"
Sher MATCHES FOR "zaaviye"
Sher
is zaaviye se pe.D lagaayaa hai bhaa.ii ne
aataa nahii.n zaraa saa bhii saaya mirii taraf
Moin Shadab
Sher
aataa rahaa huu.n yaad mai.n us ko tamaam umr
is zaaviye se ishq me.n naakaam kab hu.aa
Sardar Asif
Sher
kyaa us se bichha.Dte ki mile hii na the jis se
ik-tarfa mohabbat ke bhii hai.n zaaviye kyaa kyaa
Riasath Ali Asrar
Sher
us zaaviye se dekhiye aa.iina-e-hayaat
jis zaaviye se mai.n ne lagaayaa hai dhuup me.n
Tahir Faraz
Sher
pa.Dne lage jo zor havas kaa to kyaa nigaah
har zaaviye se jism nikaltaa dikhaa.e de
Bimal Krishn Ashk
Sher
jab aa.ii saa.at-e-be-taab terii be-libaasii kii
to aa.iine me.n jitne zaaviye the rah ga.e jal kar
Aziz Hamid Madni
Sher
tire badan ke na.e zaaviye banaataa hu.aa
guzar rahaa hai ko.ii daa.ere banaataa hu.aa
Ashraf Saleem
Sher
mai.n ne maa.ngii thii ujaale kii faqat ek kiran
tum se ye kis ne kahaa aag lagaa dii jaa.e
Zakia Ghazal
Sher
sar-zamiin-e-hind par aqvaam-e-aalam ke 'firaaq'
qaafile baste ga.e hindostaa.n bantaa gayaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
zamiir-e-laala mai-e-laal se hu.aa labrez
ishaara paate hii suufii ne to.D dii parhez
Allama Iqbal
Sher
masjid me.n bulaate hai.n hame.n zaahid-e-naa-fahm
hotaa kuchh agar hosh to mai-KHaane na jaate
Ameer Minai
Sher
iz.haar-e-haal kaa bhii zariiya nahii.n rahaa
dil itnaa jal gayaa hai ki aa.nkho.n me.n nam nahii.n
Ismail Merathi
Sher
jahaa.n na apne aziizo.n kii diid hotii hai
zamiin-e-hijr pe bhii ko.ii iid hotii hai
Ain Tabish
Sher
zaahid-e-ta.ng-nazar ne mujhe kaafir jaanaa
aur kaafir ye samajhtaa hai musalmaan huu.n mai.n
Unknown
Sher
mai.n karvaTo.n ke na.e zaa.iqe likhuu.n shab-bhar
ye ishq hai to kahaa.n zindagii azaab karuu.n
Rahat Indori
Sher
zamiin-e-dil pe mohabbat kii aab-yaarii ko
bahut hii TuuT ke barsii ghaTaa udaasii kii
Shahida Majeed
Sher
zavaal-e-asr hai kuufe me.n aur gadaagar hai.n
khulaa nahii.n ko.ii dar baab-e-iltijaa ke sivaa
Muneer Niyazi
Sher
agar samjho namaaz-e-zaahid-e-maGruur yaaro
hazaaro.n baar behtar-tar hamaarii be-namaazii hai
Maatam Fazl Mohammad
Sher
shaayad ki kisii aur se thaa vasl kaa va.ada
ma.aluum hu.aa ye tirii be-zaari-e-shab se
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
gar hai duniyaa kii talab zaahid-e-makkaar se mil
dii.n hai matluub to is taalib-e-diidaar se mil