SEARCH RESULTS
Showing search results for "zaaviye"
Ghazal MATCHES FOR "zaaviye"
Ghazal
sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaa.n me.n
pala.ng zaaviye us kii kamar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
kabhii apnii aa.nkh se zindagii pe nazar na kii
vahii zaaviye ki jo aam the mujhe khaa ga.e
Khursheed Rizvi
Ghazal
zindagii har zaaviye se dekhtaa huu.n mai.n tujhe
hai mirii fikr-o-nazar kaa daa.era phailaa hu.aa
Jahangeer nayab
Ghazal
‘ajiib lai thii jo taasiir de rahii thii mujhe
‘ajiib lams thaa har zaaviye se mil rahaa thaa
Ali Zaryoun
Ghazal
idhar se dekhe.n to apnaa makaan lagtaa hai
ik aur zaaviye se aasamaan lagtaa hai
Shamsur Rahman Faruqi
Ghazal
Amir Usmani
Ghazal
zaraa sii der kaa hai ye uruuj-e-maal-o-manaal
abhii se zehn me.n sab zaaviye zavaal ke rakh
Iftikhar Arif
Ghazal
jaise use qubuul thaa karnaa pa.Daa mujhe
har zaaviye se KHud ko badalnaa pa.Daa mujhe
Zehra Shah
Ghazal
hatheliyo.n ne bachaayaa bahut charaaGo.n ko
magar havaa hii ajab zaaviye badaltii rahii
Irfan Siddiqi
Ghazal
nazar ke zaaviye badle hai aur kuchh bhii nahii.n
vahii hai kaa'be me.n jo 'nuur' somnaath me.n hai
Krishn Bihari Noor
Ghazal
pa.Dne lage jo zor havas kaa to kyaa nigaah
har zaaviye se jism nikaltaa dikhaa.ii de
Bimal Krishn Ashk
Ghazal
kaun se jazbaat le kar tere paas aayaa karuu.n
tuu bataa kis zaaviye se mai.n tujhe dekhaa karuu.n
Riaz Majeed
Ghazal
mu.nh-maa.nge daam de ke KHariidaa aur us ke baa'd
ik KHaas zaaviye pe mujhe rakh diyaa gayaa
Anjum Saleemi
Ghazal
biga.D rahaa thaa mai.n duniyaa ke zaaviye se magar
ik aur zaaviya thaa jis se ban rahaa thaa mai.n
Saleem Ahmed
Ghazal
jis zaaviye se chaaho mirii samt phe.nk do
mujh se mile baGair ye patthar na jaa.egaa
Hayat Lakhnavi
Ghazal
jo thak ga.e ho ye bosiida zindagii jii kar
to zindagii ke alag zaaviye talaash karo