SEARCH RESULTS
Showing search results for "zamzam"
Sher MATCHES FOR "zamzam"
Sher
hai musalmaa.n ko hamesha aab-e-zamzam kii talaash
aur har ik barhaman ga.ng-o-jaman me.n mast hai
Bahram ji
Sher
ye hijrate.n hai.n zamiin o zamaa.n se aage kii
jo jaa chukaa hai use lauT kar nahii.n aanaa
Aftab Iqbal Shamim
Sher
sardii hai ki is jism se phir bhii nahii.n jaatii
suuraj hai ki muddat se mire sar par kha.Daa hai
Fakhr Zaman
Sher
aap ne achchhaa kiyaa tathiir-e-KHvaahish hii na kii
varna zamzam chashma-e-naapaak hotaa Gaaliban
Rahi Fidai
Sher
fursat ho to ye jism bhii miTTii me.n dabaa do
lo phir mai.n zamaa.n aur makaa.n se nikal aayaa
Sadiq
Sher
Allama Iqbal
Sher
ab tak tire ho.nTo.n pe tabassum kaa gumaa.n hai
ham ko to hai mahbuub yahii aadh-khilaa phuul
Fakhr Zaman
Sher
ai dost is zamaan-o-makaa.n ke azaab me.n
dushman hai jo kisii ko du.aa-e-hayaat de
Sirajuddin Zafar
Sher
Anwar Sadeed
Sher
daulat-e-Gam bhii KHas-o-KHaak-e-zamaan me.n ga.ii
tum ga.e ho to mah o saal kahaa.n Thahre hai.n
Mahmood Ayaz
Sher
zamiin par na rahe aasmaa.n ko chho.D diyaa
tumhaare baa'd zamaan o makaa.n ko chho.D diyaa
Faheem Shanas Kazmi
Sher
Abdul Aziz Khalid
Sher
mai.n ek umr se un ko talaash kartaa huu.n
kuchh aise lamhe the jo apnii dastaras me.n rahe
Zaman Kanjahi
Sher
mai.n ratjago.n ke mukammal azaab dekhuu.ngaa
kisii ne jo nahii.n dekhe vo KHvaab dekhuu.ngaa
Zaman Kanjahi
Sher
faqat zamaan o makaa.n me.n zaraa saa farq aayaa
jo ek mas.ala-e-dard thaa abhii tak hai
Shahram Sarmadi
Sher
isii liye to ye duniyaa dhulii dhulii sii lage
tire firaaq me.n ro.e hai.n zaar-zaar abhii