SEARCH RESULTS
Showing search results for "zard"
Sher MATCHES FOR "zard"
Sher
surKHii shafaq kii zard ho gaalo.n ke saamne
paanii bhare ghaTaa tire baalo.n ke saamne
Muneer Shikohabadi
Sher
mausam-e-zard me.n ek dil ko bachaa.uu.n kaise
aisii rut me.n to ghane pe.D bhii jha.D jaate hai.n
Mohsin Naqvi
Sher
mu.nh par naqaab-e-zard har ik zulf par gulaal
holii kii shaam hii to sahar hai basant kii
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Qateel Shifai
Sher
thaa zindagii me.n marg kaa khaTkaa lagaa hu.aa
u.Dne se pesh-tar bhii miraa rang zard thaa
Mirza Ghalib
Sher
sabz pe.Do.n ko pata tak nahii.n chaltaa shaayad
zard patte bhare manzar se nikal jaate hai.n
Tauqeer Taqi
Sher
shafaq se hai.n dar-o-diivaar zard shaam-o-sahar
hu.aa hai lucknow is rahguzar me.n pilibhit
Meer Taqi Meer
Sher
us kii yaad aa.ii hai saa.nso zaraa aahista chalo
dha.Dkano.n se bhii ibaadat me.n KHalal pa.Dtaa hai
Rahat Indori
Sher
rang jin kaa sabz hai vo kab gire.nge pe.D se
dhuup kii rut zard patte hii u.Daa le jaa.egii
Nadim Balkhi
Sher
baad-e-fanaa bhii hai maraz-e-ishq kaa asar
dekho ki rang zard hai mere Gubaar kaa
Mirza Raza Barq
Sher
ho gayaa zard pa.Dii jis pe hasiino.n kii nazar
ye ajab gul hai.n ki taasiir-e-KHizaa.n rakhte hai.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
tumhaarii aa.nkho.n kii tauhiin hai zaraa socho
tumhaaraa chaahne vaalaa sharaab piitaa hai
Munawwar Rana
Sher
Bashir Badr
Sher
kah rahaa hai shor-e-dariyaa se samundar kaa sukuut
jis kaa jitnaa zarf hai utnaa hii vo KHaamosh hai