har roz ik āvāza anal-haq kā lagā.eñ
dekheñ to ki hai silsila-e-dār kahāñ tak
har roz ek aawaza anal-haq ka lagaen
dekhen to ki hai silsila-e-dar kahan tak
nasheb-e-hastī se afsos ham ubhar na sake
farāz-e-dār se paiġhām aa.e haiñ kyā kyā
nasheb-e-hasti se afsos hum ubhar na sake
faraaz-e-dar se paigham aae hain kya kya
-
Tag : Paigham
mere hī ḳhuun meñ nahlā ke 'sharar'
vo salīboñ pe sajā degā mujhe
mere hi KHun mein nahla ke 'sharar'
wo salibon pe saja dega mujhe
-
Tag : Saleeb
ab to zarūrat kī ik pagḌī hai yāroñ ke kandhoñ par
ham logoñ ke saath yahāñ se rasm-e-salīb-o-dār uThī
ab to zarurat ki ek pagDi hai yaron ke kandhon par
hum logon ke sath yahan se rasm-e-salib-o-dar uThi
-
Tags : Majburiand 1 more
na jab ahl-e-ḳhirad ne baat maanī
to phir shart-e-salīb-o-dār Thahrī
na jab ahl-e-KHirad ne baat mani
to phir shart-e-salib-o-dar Thahri
-
Tag : Saleeb
sūliyāñ nasb rahīñ qaht-e-junūñ hai bhī to kyā
kuchh na kuchh ab bhī nikal ā.eñge gardan vaale
suliyan nasb rahin qaht-e-junun hai bhi to kya
kuchh na kuchh ab bhi nikal aaenge gardan wale
-
Tag : Junoon
un kī anjuman bhī hai daar bhī rasan bhī hai
dekhnā hai dīvāne ab kahāñ Thaharte haiñ
un ki anjuman bhi hai dar bhi rasan bhi hai
dekhna hai diwane ab kahan Thaharte hain
-
Tag : Mahfil