Sher on Kamar
Waist, midriff, and
torso have been the objects of Urdu poet’s attention. Romantic representations of the beloved quite often draw upon the image of the waist quite often. The have written frequently about the delicate waist and the waistline. You would come across some of these images in the selection we have made for you. And we hope you enjoy them.
zulfeñ siina naaf kamar
ek nadī meñ kitne bhañvar
zulfen sina naf kamar
ek nadi mein kitne bhanwar
-
Tag : Zulf
tumhāre log kahte haiñ kamar hai
kahāñ hai kis tarah kī hai kidhar hai
tumhaare log kahte hain kamar hai
kahan hai kis tarah ki hai kidhar hai
misl-e-ā.īna hai us rashk-e-qamar kā pahlū
saaf idhar se nazar aatā hai udhar kā pahlū
misl-e-aina hai us rashk-e-qamar ka pahlu
saf idhar se nazar aata hai udhar ka pahlu
kamar-e-yār hai bārīkī se ġhā.eb har chand
magar itnā to kahūñgā ki vo ma.adūm nahīñ
kamar-e-yar hai bariki se ghaeb har chand
magar itna to kahunga ki wo madum nahin
burā kyā hai bāñdho agar teġh-o-ḳhanjar
magar pahle apnī kamar dekh lenā
bura kya hai bandho agar tegh-o-KHanjar
magar pahle apni kamar dekh lena
yā tañg na kar nāseh-e-nādāñ mujhe aise
yā chal ke dikhā de dahan aisā kamar aisī
ya tang na kar naseh-e-nadan mujhe aise
ya chal ke dikha de dahan aisa kamar aisi
qatl par biiḌā uThā kar teġh kyā bāñdhoge tum
lo ḳhabar apnī dahan gum hai kamar miltī nahīñ
qatl par biDa uTha kar tegh kya bandhoge tum
lo KHabar apni dahan gum hai kamar milti nahin
nazar kisī ko vo mū-e-kamar nahīñ aatā
ba-rañg-e-tār-e-nazar hai nazar nahīñ aatā
nazar kisi ko wo mu-e-kamar nahin aata
ba-rang-e-tar-e-nazar hai nazar nahin aata