Sher on Taj-Mahal
Taj Mahal stands out
as the symbol of love and is considered so all over the world. Lovers around the world associate themselves with this epitome for their emotional sustenance. You must also have had such feelings when thinking of this symbol of human love. In poetry, this story has been told in multiple ways and each way discovers a new facet of the iconic Taj Mahal.
ik shahanshāh ne daulat kā sahārā le kar
ham ġharīboñ kī mohabbat kā uḌāyā hai mazāq
ek shahanshah ne daulat ka sahaara le kar
hum gharibon ki mohabbat ka uDaya hai mazaq
ek kamī thī tāj-mahal meñ
maiñ ne tirī tasvīr lagā dī
ek kami thi taj-mahal mein
main ne teri taswir laga di
-
Tags : Ishqand 4 more
tum se miltī-jultī maiñ āvāz kahāñ se lā.ūñgā
tāj-mahal ban jaa.e agar mumtāz kahāñ se lā.ūñgā
tum se milti-julti main aawaz kahan se launga
taj-mahal ban jae agar mumtaz kahan se launga
ik shahanshāh ne banvā ke hasīñ tāj-mahal
saarī duniyā ko mohabbat kī nishānī dī hai
ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal
sari duniya ko mohabbat ki nishani di hai
kitne hāthoñ ne tarāshe ye hasīñ tāj-mahal
jhāñkte haiñ dar-o-dīvār se kyā kyā chehre
kitne hathon ne tarashe ye hasin taj-mahal
jhankte hain dar-o-diwar se kya kya chehre