Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Quotes on Wages

quote

Zabaan Aur Adab Ki Khidmat Ho Sakti Hai Sirf Adeebon Aur Zabaan-daanon Ki Hausla-afzaai Se. Aur Hausla-afzaai Sirf Unki Mehnat Ka Muaavaza Ada Karne Hi Se Ho Sakti Hai.

Saadat Hasan Manto
quote

Mazmoon-nigaar Dimaaghi Ayyaash Nahi. Afsaana-nigaar Khairaati Haspataal Nahi Hain. Hum Logon Ke Dimaagh Langar-khaane Nahi Hain.

Sabse Badi Shikaayat Mujhe Un Adeebon, Shaayeron Aur Afsaana-nigaaron Se Hai Jo Akhbaaron Aur Risaalon Mein Baghair Muaaweze Ke Mazmoon Bhejte Hain. Woh Kyun Us Cheez Ko Paalte Hain Jo Eik Kheel Bhi Unke Munh Mein Nahi Daalti. Woh Kyun Aisa Kaam Karte Hain Jisse Unko Zaati Faayeda Nahi Pahunchta. Woh Kyun Un Kaaghazon Par Naqsh-o-nigaar Banaate Hain Jo Unke Liye Kafan Ka Kaam Bhi Nahi De Sakta.

Hindi Hindustani Aur Urdu Hindi Ke Qaziye Se Humein Koi Waasta Nahi. Hum Apni Mehnat Ke Daam Chaahte Hain. Mazmoon-naveesi Hamara Pesha Hai, Phir Kya Wajah Hai Ki Hum Uske Zariye Se Zinda Rahne Ka Mutaaliba Na Karein. Jo Parche, Jo Risaale, Jo Akhbaar Hamaari Tahreeron Ke Daam Adaa Nahi Kar Sakte Bilkul Band Ho Jaane Chaahiyein.

Speak Now