Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Muzaffar Hanfi's Photo'

Muzaffar Hanfi

1936 - 2020 | Delhi, India

One of the prominent modern poets.

One of the prominent modern poets.

TOP 20 SHAYARI of Muzaffar Hanfi

rotī huī ek bhiiḌ mire gird khaḌī thī

shāyad ye tamāsha mire hañsne ke liye thā

roti hui ek bhiD mere gird khaDi thi

shayad ye tamasha mere hansne ke liye tha

shukriya reshmī dilāse

tiir to aap ne bhī maarā thā

shukriya reshmi dilase ka

tir to aap ne bhi mara tha

sunā.iye vo latīfa har ek jaam ke saath

ki ek buuñd se īmān TuuT jaatā hai

sunaiye wo latifa har ek jam ke sath

ki ek bund se iman TuT jata hai

kāñToñ meñ rakh ke phuul havā meñ uḌā ke ḳhaak

kartā hai sau tarah se ishāre mujhe koī

kanTon mein rakh ke phul hawa mein uDa ke KHak

karta hai sau tarah se ishaare mujhe koi

yuuñ palak par jagmagānā do ghaḌī aish hai

raushnī ban kar mire andar andar phail

yun palak par jagmagana do ghaDi ka aish hai

raushni ban kar mere andar hi andar phail ja

shikast khā chuke haiñ ham magar aziiz fāteho

hamāre qad se kam na ho farāz-e-dār dekhnā

shikast kha chuke hain hum magar aziz fateho

hamare qad se kam na ho faraaz-e-dar dekhna

dekhnā kaise humakne lage saare patthar

merī vahshat ko tumhārī galī pahchāntī hai

dekhna kaise humakne lage sare patthar

meri wahshat ko tumhaari gali pahchanti hai

ugal dete haiñ jo kuchh peT meñ ho ghar meñ aate

parinde apne bachchoñ se adākārī nahīñ karte

ugal dete hain jo kuchh peT mein ho ghar mein aate hi

parinde apne bachchon se adakari nahin karte

hazāroñ mushkileñ haiñ dostoñ se duur rahne meñ

magar ik fā.eda hai piiTh par ḳhanjar nahīñ lagtā

hazaron mushkilen hain doston se dur rahne mein

magar ek faeda hai piTh par KHanjar nahin lagta

ab 'umr ehsās dilāne lage jugnū

dāman se mirī aañkh meñ aane lage jugnū

ab 'umr ka ehsas dilane lage jugnu

daman se meri aankh mein aane lage jugnu

ḳhud na Duub jā.ūñ ki fursat mile mujhe

nekī ladī hai pusht pe dariyā hai sāmne

KHud hi na Dub jaun ki fursat mile mujhe

neki ladi hai pusht pe dariya hai samne

us vaqt jab tilism-e-falak TūTne ko thā

aisā huā ki mujh ko bulāne lagī zamīñ

us waqt jab tilism-e-falak TuTne ko tha

aisa hua ki mujh ko bulane lagi zamin

abhī to maiñ do qadam chalā huuñ zamīn kyoñ tang ho rahī hai

mujhī pe kyoñ āsmān TuuTe abhī to maiñ par nikāltā thā

abhi to main do qadam chala hun zamin kyon tang ho rahi hai

mujhi pe kyon aasman TuTe abhi to main par nikalta tha

sūraj ko toḌ-moḌ ke jab din kiyā tamām

tāroñ ke TūTne se shab-e-tār hil ga.ī

suraj ko toD-moD ke jab din kiya tamam

taron ke TuTne se shab-e-tar hil gai

yahāñ 'adū ke sivā kaun pūchhtā hai hameñ

lahūluhān sahī kuchh nahīñ huā hai hameñ

yahan 'adu ke siwa kaun puchhta hai hamein

lahuluhan sahi kuchh nahin hua hai hamein

darvāze pe tahrīr yahāñ koī nahīñ hai

andar koī zanjīr hilātā hai ki maiñ huuñ

darwaze pe tahrir yahan koi nahin hai

andar koi zanjir hilata hai ki main hun

vahāñ bhī 'aql masnad-nashīñ milī ki jahāñ

matā'-e-fikr-o-nazar koī savāl na thā

wahan bhi 'aql hi masnad-nashin mili ki jahan

mata'-e-fikr-o-nazar ka koi sawal na tha

ḳhafīf rahte haiñ aksar zamīr ke aage

ye ne kaise tarāzū pe rakh diyā hai hameñ

KHafif rahte hain aksar zamir ke aage

ye tu ne kaise taraazu pe rakh diya hai hamein

DyoDhī meñ aa gayā thā ki bārish zarā thame

zanjīr-e-dar to yuuñ mire yaar hil ga.ī

DyoDhi mein aa gaya tha ki barish zara thame

zanjir-e-dar to yun hi mere yar hil gai

fāḳhta kahtī rahī fasleñ jalā jā.eñgī

jhuum kar aage baḌhe bādal ki ham to jā.eñge

faKHta kahti rahi faslen jala di jaengi

jhum kar aage baDhe baadal ki hum to jaenge

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now