shukriya ai qabr tak pahuñchāne vaalo shukriya
ab akele hī chale jā.eñge is manzil se ham
shukriya ai qabr tak pahunchane walo shukriya
ab akele hi chale jaenge is manzil se hum
-
Tags : Famous shayariand 2 more
us mehrbāñ nazar kī ināyat kā shukriya
tohfa diyā hai eid pe ham ko judā.ī kā
us mehrban nazar ki inayat ka shukriya
tohfa diya hai eid pe hum ko judai ka
shukriya terā tire aane se raunaq to baḌhī
varna ye mahfil-e-jazbāt adhūrī rahtī
shukriya tera tere aane se raunaq to baDhi
warna ye mahfil-e-jazbaat adhuri rahti
-
Tags : Thanksgivingand 1 more
ḳhatoñ ko kholtī dīmak kā shukriya varna
taḌap rahī thī lifāfoñ meñ be-zabānī paḌī
KHaton ko kholti dimak ka shukriya warna
taDap rahi thi lifafon mein be-zabani paDi
shukriya reshmī dilāse kā
tiir to aap ne bhī maarā thā
shukriya reshmi dilase ka
tir to aap ne bhi mara tha
-
Tag : Teer
shukriya vaa.iz jo mujh ko tark-e-mai kī dī salāh
ġhaur maiñ is par karūñgā hosh meñ aane ke ba.ad
shukriya waiz jo mujh ko tark-e-mai ki di salah
ghaur main is par karunga hosh mein aane ke baad
kahāñ ke māhir-o-kāmil ho tum hunar meñ 'adīl'
tumhāre kaam to parvardigār kartā hai
kahan ke mahir-o-kaamil ho tum hunar mein 'adil'
tumhaare kaam to parwardigar karta hai
shukriyā tum ne bujhāyā mirī hastī kā charāġh
tum sazā-vār nahīñ tum ne to achchhā.ī kī
shukriya tum ne bujhaya meri hasti ka charagh
tum saza-war nahin tum ne to achchhai ki
ai be-ḳhudī salām tujhe terā shukriya
duniyā bhī mast mast hai uqbā bhī mast mast
ai be-KHudi salam tujhe tera shukriya
duniya bhi mast mast hai uqba bhi mast mast
-
Tag : Bekhudi
shukriya ai gardish-e-jām-e-sharāb
maiñ bharī mahfil meñ tanhā ho gayā
shukriya ai gardish-e-jam-e-sharab
main bhari mahfil mein tanha ho gaya
-
Tag : Sharab