Sher on Farewell
Meeting, or union, is
one condition of life while separation, or bidding farewell, is another. It instills strange feelings in us—it leaves us sad but sometimes even happy at the prospect of yet another meeting. Have a look at the various moods of farewell here in this section.
us galī ne ye sun ke sabr kiyā
jaane vaale yahāñ ke the hī nahīñ
us gali ne ye sun ke sabr kiya
jaane wale yahan ke the hi nahin
-
Tag : Maut
ab to jaate haiñ but-kade se 'mīr'
phir mileñge agar ḳhudā laayā
ab to jate hain but-kade se 'mir'
phir milenge agar KHuda laya
-
Tags : Famous shayariand 2 more
jaane vaale se mulāqāt na hone paa.ī
dil kī dil meñ hī rahī baat na hone paa.ī
jaane wale se mulaqat na hone pai
dil ki dil mein hi rahi baat na hone pai
aañkh se duur sahī dil se kahāñ jā.egā
jaane vaale tū hameñ yaad bahut aa.egā
aankh se dur sahi dil se kahan jaega
jaane wale tu hamein yaad bahut aaega
tumheñ zarūr koī chāhatoñ se dekhegā
magar vo āñkheñ hamārī kahāñ se lā.egā
tumhein zarur koi chahaton se dekhega
magar wo aankhen hamari kahan se laega
-
Tags : Ishqand 1 more
us ko ruḳhsat to kiyā thā mujhe ma.alūm na thā
saarā ghar le gayā ghar chhoḌ ke jaane vaalā
us ko ruKHsat to kiya tha mujhe malum na tha
sara ghar le gaya ghar chhoD ke jaane wala
-
Tags : Ishqand 2 more
jaate ho ḳhudā-hāfiz haañ itnī guzārish hai
jab yaad ham aa jaa.eñ milne kī duā karnā
jate ho KHuda-hafiz han itni guzarish hai
jab yaad hum aa jaen milne ki dua karna
agar talāsh karūñ koī mil hī jā.egā
magar tumhārī tarah kaun mujh ko chāhegā
agar talash karun koi mil hi jaega
magar tumhaari tarah kaun mujh ko chahega
-
Tag : Romantic
chhoḌne maiñ nahīñ jaatā use darvāze tak
lauT aatā huuñ ki ab kaun use jaatā dekhe
chhoDne main nahin jata use darwaze tak
lauT aata hun ki ab kaun use jata dekhe
ajiib hote haiñ ādāb-e-ruḳhsat-e-mahfil
ki vo bhī uTh ke gayā jis kā ghar na thā koī
ajib hote hain aadab-e-ruKHsat-e-mahfil
ki wo bhi uTh ke gaya jis ka ghar na tha koi
yaad hai ab tak tujh se bichhaḌne kī vo añdherī shaam mujhe
tū ḳhāmosh khaḌā thā lekin bāteñ kartā thā kājal
yaad hai ab tak tujh se bichhaDne ki wo andheri sham mujhe
tu KHamosh khaDa tha lekin baaten karta tha kajal
-
Tags : Judaiand 1 more
ab tum kabhī na aaoge yaanī kabhī kabhī
ruḳhsat karo mujhe koī va.ada kiye baġhair
ab tum kabhi na aaoge yani kabhi kabhi
ruKHsat karo mujhe koi wada kiye baghair
-
Tag : Wada
tumhāre saath ye mausam farishtoñ jaisā hai
tumhāre ba.ad ye mausam bahut satā.egā
tumhaare sath ye mausam farishton jaisa hai
tumhaare baad ye mausam bahut sataega
-
Tag : Welcome
tum suno yā na suno haath baḌhāo na baḌhāo
Dūbte Dūbte ik baar pukāreñge tumheñ
tum suno ya na suno hath baDhao na baDhao
Dubte Dubte ek bar pukarenge tumhein
rail dekhī hai kabhī siine pe chalne vaalī
yaad to hoñge tujhe haath hilāte hue ham
rail dekhi hai kabhi sine pe chalne wali
yaad to honge tujhe hath hilate hue hum
ye ek peḌ hai aa is se mil ke ro leñ ham
yahāñ se tere mire rāste badalte haiñ
ye ek peD hai aa is se mil ke ro len hum
yahan se tere mere raste badalte hain
us se milne kī ḳhushī ba.ad meñ dukh detī hai
jashn ke ba.ad kā sannāTā bahut khaltā hai
us se milne ki KHushi baad mein dukh deti hai
jashn ke baad ka sannaTa bahut khalta hai
gūñjte rahte haiñ alfāz mire kānoñ meñ
tū to ārām se kah detā hai allāh-hāfiz
gunjte rahte hain alfaz mere kanon mein
tu to aaram se kah deta hai allah-hafiz
us se mile zamāna huā lekin aaj bhī
dil se duā nikaltī hai ḳhush ho jahāñ bhī ho
us se mile zamana hua lekin aaj bhi
dil se dua nikalti hai KHush ho jahan bhi ho
use jaane kī jaldī thī so maiñ āñkhoñ hī āñkhoñ meñ
jahāñ tak chhoḌ saktā thā vahāñ tak chhoḌ aayā huuñ
use jaane ki jaldi thi so main aankhon hi aankhon mein
jahan tak chhoD sakta tha wahan tak chhoD aaya hun
jaane vaale ko kahāñ rok sakā hai koī
tum chale ho to koī rokne vaalā bhī nahīñ
jaane wale ko kahan rok saka hai koi
tum chale ho to koi rokne wala bhi nahin
kaleja rah gayā us vaqt phaT kar
kahā jab alvidā us ne palaT kar
kaleja rah gaya us waqt phaT kar
kaha jab alwida us ne palaT kar
ravāna kar to rahā hai vo hañste hañste mujhe
maiñ jāntā huuñ mire ba.ad ḳhuub ro.egā
rawana kar to raha hai wo hanste hanste mujhe
main jaanta hun mere baad KHub roega
tum isī moḌ par hameñ milnā
lauT kar ham zarūr ā.eñge
tum isi moD par hamein milna
lauT kar hum zarur aaenge
dukh ke safar pe dil ko ravāna to kar diyā
ab saarī umr haath hilāte raheñge ham
dukh ke safar pe dil ko rawana to kar diya
ab sari umr hath hilate rahenge hum
ab ke jaate hue is tarah kiyā us ne salām
Dūbne vaalā koī haath uThā.e jaise
ab ke jate hue is tarah kiya us ne salam
Dubne wala koi hath uThae jaise
tere paimāne meñ gardish nahīñ baaqī saaqī
aur tirī bazm se ab koī uThā chāhtā hai
tere paimane mein gardish nahin baqi saqi
aur teri bazm se ab koi uTha chahta hai
vaqt-e-ruḳhsat alvidā.a kā lafz kahne ke liye
vo tire sūkhe laboñ kā thartharānā yaad hai
waqt-e-ruKHsat alwidaa ka lafz kahne ke liye
wo tere sukhe labon ka thartharana yaad hai
ham ne maanā ik na ik din lauT ke tū aa jā.egā
lekin tujh bin umr jo guzrī kaun use lauTā.egā
hum ne mana ek na ek din lauT ke tu aa jaega
lekin tujh bin umr jo guzri kaun use lauTaega
ek din kahnā hī thā ik dūsre ko alvidā.a
āḳhirash 'sālim' judā ik baar to honā hī thā
ek din kahna hi tha ek dusre ko alwidaa
aaKHirash 'salim' juda ek bar to hona hi tha
vo alvidā.a kā manzar vo bhīgtī palkeñ
pas-e-ġhubār bhī kyā kyā dikhā.ī detā hai
wo alwidaa ka manzar wo bhigti palken
pas-e-ghubar bhi kya kya dikhai deta hai
jaada jaada chhoḌ jaao apnī yādoñ ke nuqūsh
aane vaale kārvāñ ke rahnumā ban kar chalo
jada jada chhoD jao apni yaadon ke nuqush
aane wale karwan ke rahnuma ban kar chalo
-
Tag : Motivational
kyuuñ girafta-dil nazar aatī hai ai shām-e-firāq
ham jo tere naaz uThāne ke liye maujūd haiñ
kyun girafta-dil nazar aati hai ai sham-e-firaq
hum jo tere naz uThane ke liye maujud hain
vaqt-e-ruḳhsat tirī āñkhoñ kā vo jhuk sā jaanā
ik musāfir ke liye zād-e-safar hai ai dost
waqt-e-ruKHsat teri aankhon ka wo jhuk sa jaana
ek musafir ke liye zad-e-safar hai ai dost
ye ghar mirā gulshan hai gulshan kā ḳhudā hāfiz
allāh nigahbān nasheman kā ḳhudā hāfiz
ye ghar mera gulshan hai gulshan ka KHuda hafiz
allah nigahban nasheman ka KHuda hafiz
ye ham hī jānte haiñ judā.ī ke moḌ par
is dil kā jo bhī haal tujhe dekh kar huā
ye hum hi jaante hain judai ke moD par
is dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua
ābdīda ho ke vo aapas meñ kahnā alvidā.a
us kī kam merī sivā āvāz bharrā.ī huī
aabdida ho ke wo aapas mein kahna alwidaa
us ki kam meri siwa aawaz bharrai hui
aa.ī hogī to maut aa.egī
tum to jaao mirā ḳhudā hāfiz
aai hogi to maut aaegi
tum to jao mera KHuda hafiz
lagā jab yuuñ ki uktāne lagā hai dil ujāloñ se
use mahfil se us kī alvidā.a kah kar nikal aa.e
laga jab yun ki uktane laga hai dil ujalon se
use mahfil se us ki alwidaa kah kar nikal aae
barq kyā sharāra kyā rañg kyā nazāra kyā
har diye kī miTTī meñ raushnī tumhārī hai
barq kya sharara kya rang kya nazara kya
har diye ki miTTi mein raushni tumhaari hai
ab mujh ko ruḳhsat honā hai ab merā hār-siñghār karo
kyuuñ der lagātī ho sakhiyo jaldī se mujhe tayyār karo
ab mujh ko ruKHsat hona hai ab mera haar-singhaar karo
kyun der lagati ho sakhiyo jaldi se mujhe tayyar karo
jaate jaate un kā ruknā aur muḌ kar dekhnā
jaag uTThā aah merā dard-e-tanhā.ī bahut
jate jate un ka rukna aur muD kar dekhna
jag uTTha aah mera dard-e-tanhai bahut
chaman se ruḳhsat-e-gul hai na lauTne ke liye
to bulbuloñ kā taḌapnā yahāñ pe jaa.ez hai
chaman se ruKHsat-e-gul hai na lauTne ke liye
to bulbulon ka taDapna yahan pe jaez hai
tamām-shahr jise chhoḌne ko aayā hai
vo shaḳhs kitnā akelā safar pe niklegā
tamam-shahr jise chhoDne ko aaya hai
wo shaKHs kitna akela safar pe niklega