Best Cigarette Shayari
hue ḳhatm cigarette ab kyā kareñ ham
hai pichhlā pahar raat ke do baje haiñ
hue KHatm cigarette ab kya karen hum
hai pichhla pahar raat ke do baje hain
-
Tag : Cigarette
cigarette jise sulagtā huā koī chhoḌ de
us kā dhuāñ huuñ aur pareshāñ dhuāñ huuñ maiñ
cigarette jise sulagta hua koi chhoD de
us ka dhuan hun aur pareshan dhuan hun main
-
Tag : Cigarette
saarā ġhussa ab bas is kaam aatā hai
ham is se cigarette sulgāyā karte haiñ
sara ghussa ab bas is kaam aata hai
hum is se cigarette sulgaya karte hain
pahlī cigarette pahlā ḳhvāb aur pahlā ishq
in tīnoñ meñ ek bhī mujh ko yaad nahīñ
pahli cigarette pahla KHwab aur pahla ishq
in tinon mein ek bhi mujh ko yaad nahin
nahīñ thā dhyān koī toḌte hue cigarette
maiñ tujh ko bhuul gayā chhoḌte hue cigarette
nahin tha dhyan koi toDte hue cigarette
main tujh ko bhul gaya chhoDte hue cigarette
ab mā-hasal hayāt kā bas ye hai ai 'salām'
cigarette jalā.ī sher kahe shādmāñ hue
ab ma-hasal hayat ka bas ye hai ai 'salam'
cigarette jalai sher kahe shadman hue
-
Tag : Cigarette
ham do bande haiñ aur cigarette ek
ab ḳhabar hogī dostī kī dost
hum do bande hain aur cigarette ek
ab KHabar hogi dosti ki dost
ek din us ko muñh lagāyā aur
aur cigarette chhoḌ dī maiñ ne
ek din us ko munh lagaya aur
aur cigarette chhoD di main ne
hamāre saañs bhī le kar na bach sake afzal
ye ḳhāk-dān meñ dam toḌte hue cigarette
hamare sans bhi le kar na bach sake afzal
ye KHak-dan mein dam toDte hue cigarette
rishtoñ ko jab dhuup dikhā.ī jaatī hai
cigarette se cigarette sulgā.ī jaatī hai
rishton ko jab dhup dikhai jati hai
cigarette se cigarette sulgai jati hai