BEST OF JASHN-E-REKHTA 2022: GRAND MUSHAIRA
This is a collection of few selected couplets recited in the Grand Poets Mushaira of Jashn-e-Rekhta 2022.
mujhe sharāb pilā.ī ga.ī hai āñkhoñ se
mirā nasha to hazāroñ baras meñ utregā
mujhe sharab pilai gai hai aankhon se
mera nasha to hazaron baras mein utrega
kuchh na kuchh bolte raho ham se
chup rahoge to log sun leñge
kuchh na kuchh bolte raho hum se
chup rahoge to log sun lenge
jis ko har vaqt dekhtā huuñ maiñ
us ko bas ek baar dekhā hai
jis ko har waqt dekhta hun main
us ko bas ek bar dekha hai
dīvāngī kā sabab pūchhā jā rahā thā mirī
maiñ chup thā aur hujūm us kā naam le rahā thā
diwangi ka sabab puchha ja raha tha meri
main chup tha aur hujum us ka nam le raha tha
lagtā hai kahīñ pyaar meñ thoḌī sī kamī thī
aur pyaar meñ thoḌī sī kamī kam nahīñ hotī
lagta hai kahin pyar mein thoDi si kami thi
aur pyar mein thoDi si kami kam nahin hoti
jis sadī meñ vafā kā chalan hī nahīñ
ham banā.e ga.e us sadī ke liye
jis sadi mein wafa ka chalan hi nahin
hum banae gae us sadi ke liye
bujhī-bujhī sī ye bāteñ dhuāñ-dhuāñ lahja
kisī 'azāb meñ andar se jal rahe ho kyā
bujhi-bujhi si ye baaten dhuan-dhuan lahja
kisi 'azab mein andar se jal rahe ho kya
isī ḳhatā pe bujhā.e ga.e charāġh mire
maiñ jāntā thā bahut kuchh havā ke baare meñ
isi KHata pe bujhae gae charagh mere
main jaanta tha bahut kuchh hawa ke bare mein
savāl thā ki justujū 'azīm hai ki aarzū
so yuuñ huā ki 'umr-bhar javāb likh rahe the ham
sawal tha ki justuju 'azim hai ki aarzu
so yun hua ki 'umr-bhar jawab likh rahe the hum
pahle Daalī tire chehre pe bahut der nazar
'iid kā chāñd to phir baa'd meñ dekhā maiñ ne
pahle Dali tere chehre pe bahut der nazar
'id ka chand to phir ba'd mein dekha main ne
tere rone kī ḳhabar rakhtī haiñ āñkheñ merī
terā aañsū mire rūmāl meñ aa jaatā hai
tere rone ki KHabar rakhti hain aankhen meri
tera aansu mere rumal mein aa jata hai
zindagī se mohabbat karo TuuT kar
maut kā kaam dushvār karte raho
zindagi se mohabbat karo TuT kar
maut ka kaam dushwar karte raho
us vaqt ke sadmoñ ne mujhe chaaT liyā hai
jo vaqt abhī maiñ ne guzārā bhī nahīñ thā
us waqt ke sadmon ne mujhe chaT liya hai
jo waqt abhi main ne guzara bhi nahin tha
vaqt hotā hai bevafā yaaro
aadmī bevafā nahīñ hotā
waqt hota hai bewafa yaro
aadmi bewafa nahin hota
āsmāñ kī nazar se bachte hue
ik sitāra uThā liyā maiñ ne
aasman ki nazar se bachte hue
ek sitara uTha liya main ne
hameñ bhī vaqt ke tūfān mil kar khā ga.e āḳhir
har ik kashtī ko mil jaatā hai sāhil ham bhī kahte the
hamein bhi waqt ke tufan mil kar kha gae aaKHir
har ek kashti ko mil jata hai sahil hum bhi kahte the
ḳhāmosh tum the aur mire hoñT bhī the band
phir itnī der kaun thā jo boltā rahā
KHamosh tum the aur mere honT bhi the band
phir itni der kaun tha jo bolta raha
udāsī akele meñ Dar jā.egī
ghaḌī-do-ghaḌī ko ḳhushī bhej de
udasi akele mein Dar jaegi
ghaDi-do-ghaDi ko KHushi bhej de