Best True Love Shayari
jise ishq kā tiir kaarī lage
use zindagī kyuuñ na bhārī lage
jise ishq ka tir kari lage
use zindagi kyun na bhaari lage
-
Tags : Ishqand 2 more
siine meñ mire dāġh-e-ġham-e-ishq-e-nabī hai
ik gauhar-e-nāyāb mire haath lagā hai
sine mein mere dagh-e-gham-e-ishq-e-nabi hai
ek gauhar-e-nayab mere hath laga hai
ishq udāsī ke paiġhām to laatā rahtā hai din raat
lekin ham ko ḳhush rahne kī aadat bahut ziyāda hai
ishq udasi ke paigham to lata rahta hai din raat
lekin hum ko KHush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
shaġhl behtar hai ishq-bāzī kā
kyā haqīqī o kyā majāzī kā
shaghl behtar hai ishq-bazi ka
kya haqiqi o kya majazi ka
ishq jab tak na ās-pās rahā
husn tanhā rahā udaas rahā
ishq jab tak na aas-pas raha
husn tanha raha udas raha
hamīñ se anjuman-e-ishq mo'tabar Thahrī
hamīñ ko sauñpī ga.ī ġham kī pāsbānī bhī
hamin se anjuman-e-ishq mo'tabar Thahri
hamin ko saunpi gai gham ki pasbani bhi
hamāre ishq se dard-e-jahāñ ibārat hai
hamārā ishq havas se buland-o-bālā hai
hamare ishq se dard-e-jahan ibarat hai
hamara ishq hawas se buland-o-baala hai
ishq kyā shai hai husn hai kyā chiiz
kuchh idhar kī hai kuchh udhar kī aag
ishq kya shai hai husn hai kya chiz
kuchh idhar ki hai kuchh udhar ki aag
jo rañg-e-ishq se fāriġh ho us ko dil nahīñ kahte
jo maujoñ se na Takrā.e use sāhil nahīñ kahte
jo rang-e-ishq se farigh ho us ko dil nahin kahte
jo maujon se na Takrae use sahil nahin kahte