Top 10 couplets of Abroo Shah Mubarak
One of the founding fathers of Urdu poetry, contemporary of Meer Taqi Meer.
duur ḳhāmosh baiThā rahtā huuñ
is tarah haal dil kā kahtā huuñ
dur KHamosh baiTha rahta hun
is tarah haal dil ka kahta hun
tumhāre log kahte haiñ kamar hai
kahāñ hai kis tarah kī hai kidhar hai
tumhaare log kahte hain kamar hai
kahan hai kis tarah ki hai kidhar hai
-
Tags : Famous shayariand 1 more
tum nazar kyuuñ churā.e jaate ho
jab tumheñ ham salām karte haiñ
tum nazar kyun churae jate ho
jab tumhein hum salam karte hain
bosāñ labāñ siiñ dene kahā kah ke phir gayā
pyāla bharā sharāb kā afsos gir gayā
bosan laban sin dene kaha kah ke phir gaya
pyala bhara sharab ka afsos gir gaya
ḳhudāvandā karam kar fazl kar ahvāl par mere
nazar kar aap par mat kar nazar afa.āl par mere
KHudawanda karam kar fazl kar ahwal par mere
nazar kar aap par mat kar nazar afaal par mere
yuuñ 'ābrū' banāve dil meñ hazār bāteñ
jab rū-ba-rū ho tere guftār bhuul jaave
yun 'abru' banawe dil mein hazar baaten
jab ru-ba-ru ho tere guftar bhul jawe
yaaro hamārā haal sajan siiñ bayāñ karo
aisī tarah karo ki use mehrbāñ karo
yaro hamara haal sajan sin bayan karo
aisi tarah karo ki use mehrban karo
ishq kā tiir dil meñ laagā hai
dard jo hovtā thā bhāgā hai
ishq ka tir dil mein laga hai
dard jo howta tha bhaga hai
tirā har uzv pyāre ḳhush-numā hai uzv-e-dīgar siiñ
mizha siiñ ḳhūb-tar abrū o abrū siiñ bhalī añkhiyāñ
tera har uzw pyare KHush-numa hai uzw-e-digar sin
mizha sin KHub-tar abru o abru sin bhali ankhiyan
tumhārī dekh kar ye ḳhush-ḳhirāmī āb-raftārī
gayā hai bhuul hairat siiñ piyā paanī ke ta.iiñ bahnā
tumhaari dekh kar ye KHush-KHirami aab-raftari
gaya hai bhul hairat sin piya pani ke tain bahna