Top 10 couplets of Fani Badayuni
One of the most prominent post-classical poets famous for his pessimistic view of life.
har nafas umr-e-guzishta kī hai mayyat 'fānī'
zindagī naam hai mar mar ke jiye jaane kā
har nafas umr-e-guzishta ki hai mayyat 'fani'
zindagi nam hai mar mar ke jiye jaane ka
-
Tags : Famous shayariand 1 more
sune jaate na the tum se mire din raat ke shikve
kafan sarkāo merī be-zabānī dekhte jaao
sune jate na the tum se mere din raat ke shikwe
kafan sarkao meri be-zabani dekhte jao
ik muamma hai samajhne kā na samjhāne kā
zindagī kaahe ko hai ḳhvāb hai dīvāne kā
ek muamma hai samajhne ka na samjhane ka
zindagi kahe ko hai KHwab hai diwane ka
-
Tags : Khwaband 1 more
har musībat kā diyā ek tabassum se javāb
is tarah gardish-e-daurāñ ko rulāyā maiñ ne
har musibat ka diya ek tabassum se jawab
is tarah gardish-e-dauran ko rulaya main ne
-
Tag : Motivational
duniyā merī balā jaane mahñgī hai yā sastī hai
maut mile to muft na luuñ hastī kī kyā hastī hai
duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai
maut mile to muft na lun hasti ki kya hasti hai
-
Tags : Khuddariand 1 more
zikr jab chhiḌ gayā qayāmat kā
baat pahuñchī tirī javānī tak
zikr jab chhiD gaya qayamat ka
baat pahunchi teri jawani tak
-
Tags : Famous shayariand 1 more
yā-rab tirī rahmat se māyūs nahīñ 'fānī'
lekin tirī rahmat kī tāḳhīr ko kyā kahiye
ya-rab teri rahmat se mayus nahin 'fani'
lekin teri rahmat ki taKHir ko kya kahiye
bahlā na dil na tīrgī-e-shām-e-ġham ga.ī
ye jāntā to aag lagātā na ghar ko maiñ
bahla na dil na tirgi-e-sham-e-gham gai
ye jaanta to aag lagata na ghar ko main
-
Tag : Famous shayari
zindagī jabr hai aur jabr ke āsār nahīñ
haa.e is qaid ko zanjīr bhī darkār nahīñ
zindagi jabr hai aur jabr ke aasar nahin
hae is qaid ko zanjir bhi darkar nahin
-
Tags : Jabrand 2 more
dil kā ujaḌnā sahl sahī basnā sahl nahīñ zālim
bastī basnā khel nahīñ baste baste bastī hai
dil ka ujaDna sahl sahi basna sahl nahin zalim
basti basna khel nahin baste baste basti hai
-
Tag : Dil