Top 10 couplets of Ismail Merathi
Most famous Urdu poet writing poetry for children.
bad kī sohbat meñ mat baiTho is kā hai anjām burā
bad na bane to bad kahlā.e bad achchhā badnām burā
bad ki sohbat mein mat baiTho is ka hai anjam bura
bad na bane to bad kahlae bad achchha badnam bura
dostī aur kisī ġharaz ke liye
vo tijārat hai dostī hī nahīñ
dosti aur kisi gharaz ke liye
wo tijarat hai dosti hi nahin
-
Tag : Dosti
kabhī bhuul kar kisī se na karo sulūk aisā
ki jo tum se koī kartā tumheñ nāgavār hotā
kabhi bhul kar kisi se na karo suluk aisa
ki jo tum se koi karta tumhein nagawar hota
tārīf us ḳhudā kī jis ne jahāñ banāyā
kaisī zamīñ banā.ī kyā āsmāñ banāyā
tarif us KHuda ki jis ne jahan banaya
kaisi zamin banai kya aasman banaya
-
Tag : Khuda
chhurī kā tiir kā talvār kā to ghaao bharā
lagā jo zaḳhm zabāñ kā rahā hamesha harā
chhuri ka tir ka talwar ka to ghao bhara
laga jo zaKHm zaban ka raha hamesha hara
ḳhvāhishoñ ne Dubo diyā dil ko
varna ye bahr-e-be-karāñ hotā
KHwahishon ne Dubo diya dil ko
warna ye bahr-e-be-karan hota
sub.h ke bhūle to aa.e shaam ko
dekhiye kab aa.eñ bhūle shaam ke
subh ke bhule to aae sham ko
dekhiye kab aaen bhule sham ke
apnī hī jalvagarī hai ye koī aur nahīñ
ġhaur se dekh agar aañkh meñ bīnā.ī hai
apni hi jalwagari hai ye koi aur nahin
ghaur se dekh agar aankh mein binai hai
-
Tag : Beenai
har shakl meñ thā vahī numūdār
ham ne hī nigāh-e-sarsarī kī
har shakl mein tha wahi numudar
hum ne hi nigah-e-sarsari ki
sab kuchh to kiyā ham ne pa kuchh bhī na kiyā haa.e
hairān haiñ kyā jāniye kyā ho nahīñ saktā
sab kuchh to kiya hum ne pa kuchh bhi na kiya hae
hairan hain kya jaaniye kya ho nahin sakta