aaj jel-KHaane me.n
aaj jail KHaane me.n
ek KHaamosh 'ahd ke tahat
ham qaidiyo.n ko ek giit gaane kii ijaazat hai
africa salaamat hai
sirf ek giit
kam-aahangii aur mataanat ke saath
jazbo.n par zabt ke band baa.ndh lo
ehsaasaat kii lau niiche rakkhe raho
qaidii tavaanaa magar ustuvaar aavaazo.n me.n gaate hai.n
africa terii KHair ho
aa.nkho.n ke piichhe
dil kii gahraa.iyo.n se um.De nukiile aa.nsuu
be-Thikaana parinde kii vahshat kii tarah
ko.ii naam maqaam Dhuu.nDte hai.n
jin par qayaam kar sake.n
un kaarnaamo.n kaa zikr
jo vo anjaam de chuke
un marhalo.n kaa tazkira
jin se guzar rahe hai.n
un muraado.n kii fehrist
jin ke husuul ke liye abhii bahut kuchh karnaa hai
aaj jail KHaane me.n
hame.n ek giit gaane kii ijaazat hai
aaj jail KHaane me.n
ek KHaamosh 'ahd ke tahat
ham qaidiyo.n ko ek giit gaane kii ijaazat hai
africa salaamat hai
sirf ek giit
kam-aahangii aur mataanat ke saath
jazbo.n par zabt ke band baa.ndh lo
ehsaasaat kii lau niiche rakkhe raho
qaidii tavaanaa magar ustuvaar aavaazo.n me.n gaate hai.n
africa terii KHair ho
aa.nkho.n ke piichhe
dil kii gahraa.iyo.n se um.De nukiile aa.nsuu
be-Thikaana parinde kii vahshat kii tarah
ko.ii naam maqaam Dhuu.nDte hai.n
jin par qayaam kar sake.n
un kaarnaamo.n kaa zikr
jo vo anjaam de chuke
un marhalo.n kaa tazkira
jin se guzar rahe hai.n
un muraado.n kii fehrist
jin ke husuul ke liye abhii bahut kuchh karnaa hai
aaj jail KHaane me.n
hame.n ek giit gaane kii ijaazat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.