'alaamat
aur yuu.n
alfaaz kho dete hai.n apne maa'naa
tabdiil hote hu.e 'alaamato.n me.n
dekho ka.nval kii taraf
ek lafz kii shakl me.n kis qadar maa'suum thaa
ye uThaa saktaa thaa
KHuub-suurat lakshmii ko
yaa barahmaa ko
taKHliiq kii Gazab-naakii me.n
us ne rihaa.ii dii
ek haathii raajaa ko
ye ubhraa maa'suum gautam-budh ke nanhe nanhe pairo.n se
us ke rang ne lalchaayaa suuraj ko
us ke shahd ne varGalaayaa makkhiyo.n ko
tashbiihii hone ke baavajuud
us kii aa.nkhe.n aur pair bache rahe
lekin ab ye sirf ek 'alaamat hai
shahd aur shaguftagii se 'aarii
ishaare karte hu.e
abnaa-e-aadam kii maut kaa
aur yuu.n
alfaaz kho dete hai.n apne maa'naa
tabdiil hote hu.e 'alaamato.n me.n
dekho ka.nval kii taraf
ek lafz kii shakl me.n kis qadar maa'suum thaa
ye uThaa saktaa thaa
KHuub-suurat lakshmii ko
yaa barahmaa ko
taKHliiq kii Gazab-naakii me.n
us ne rihaa.ii dii
ek haathii raajaa ko
ye ubhraa maa'suum gautam-budh ke nanhe nanhe pairo.n se
us ke rang ne lalchaayaa suuraj ko
us ke shahd ne varGalaayaa makkhiyo.n ko
tashbiihii hone ke baavajuud
us kii aa.nkhe.n aur pair bache rahe
lekin ab ye sirf ek 'alaamat hai
shahd aur shaguftagii se 'aarii
ishaare karte hu.e
abnaa-e-aadam kii maut kaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.