baa.nsurii kahtii hai
baa.nsurii kahtii hai
kaash mai.n damishq se guzruu.n
ek guu.nj kii tarah
us ke saahilo.n par KHvaabiida resham
aur chiiKHo.n me.n KHamiida
merii rasaa.ii se kahii.n pahle vo mar chukaa hogaa
faasla
aa.nsu.o.n kii tarah girtaa hai
baa.nsurii bulaatii hai
vo aasmaan ko ek 'aurat se
aur 'aurat ko
ek sarak se taqsiim kartii hai
taaki hame.n alag kar de ek duusre se
kyaa mai.n ne saarii musiibat raa.egaa.n kaaTii
kyaa mai.n ne to.Daa pahaa.D ke pattharo.n
aur mohabbat ke pahle seb ko
faasle kii talvaar pukaartii hai
damishq
merii jaan
mai.n mohabbat karnaa aur Thaharnaa chaahtaa huu.n
baa.nsurii mujh par kuchh aur mehrbaan ho
agar mai.n damishq se
ek guu.nj kii tarah bhii guzar sakaa
aur agar mai.n tere aa.nsu.o.n kii zabaan ban sakaa
to mai.n damishq ko bhii paa luu.ngaa
baa.nsurii kahtii hai
kaash mai.n damishq se guzruu.n
ek guu.nj kii tarah
us ke saahilo.n par KHvaabiida resham
aur chiiKHo.n me.n KHamiida
merii rasaa.ii se kahii.n pahle vo mar chukaa hogaa
faasla
aa.nsu.o.n kii tarah girtaa hai
baa.nsurii bulaatii hai
vo aasmaan ko ek 'aurat se
aur 'aurat ko
ek sarak se taqsiim kartii hai
taaki hame.n alag kar de ek duusre se
kyaa mai.n ne saarii musiibat raa.egaa.n kaaTii
kyaa mai.n ne to.Daa pahaa.D ke pattharo.n
aur mohabbat ke pahle seb ko
faasle kii talvaar pukaartii hai
damishq
merii jaan
mai.n mohabbat karnaa aur Thaharnaa chaahtaa huu.n
baa.nsurii mujh par kuchh aur mehrbaan ho
agar mai.n damishq se
ek guu.nj kii tarah bhii guzar sakaa
aur agar mai.n tere aa.nsu.o.n kii zabaan ban sakaa
to mai.n damishq ko bhii paa luu.ngaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.