KHaalii jagah
sirf do mumlikate.n thii.n
ek ne mujhe aur use be-daKHl diyaa thaa
duusrii ko ham dono.n ne tark kar diyaa thaa
barahna aasmaan tale
jaane kab tak mai.n badan kii barsaat me.n bhiigii
jaane kab tak vo tan kii bauchha.D me.n galtaa rahaa
phir ek umr kii chaah ko vish ke ghuu.nT kii tarah p kar
us ke larzaa.n haath ne meraa haath thaam liyaa
aa.o lamho.n ke sar par ek chhappar Daale.n
vo dekho duur vahaa.n
sach aur jhuuT ke darmiyaan kuchh jagah KHaalii hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.