ka.ii log kahte hai.n -
bahut kuchh hai kahne ko
bahut kuchh hai aage jo abhii tai karnaa baaqii hai
ki jaise lafzo.n se baat nahii.n kahii jaa saktii
ki jaise duurii qadmo.n se KHatm nahii.n hotii
ka.ii log kahte hai.n -
ab kahne ke liye kuchh bhii baaqii nahii.n
tai karne ke liye kuchh bhii baaqii nahii.n
jaise lafz napunsak ho ga.e ho.n
aur mai.n kahtaa huu.n
safar aur taariiKH kii baat mat karo
mujhe aglaa qadam rakhne ke liye zamiin do

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.